Gar Poochey Koi Mujh

Gar Poochey Koi Mujh
Gar Poochey Koi Mujh Sy Tere Ta''aluq Ki Nisbat

Nikaal K Dil Apna Hatheli Py Rakh Doon Ga.
  

Jun, 01 2010     93 chars (1 sms)     2248 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mai Shayar Nahi Jo Shayari Likhu
Dil Me Dard Nahi Jo Sabdo Me Likhu

Nahi Pata Kaha Se Aate Hai Dard
Nahi Pata Doosro Ke Dilo Ka Marj

Woo Shayar Hi Nahi Jo Khusi Na De Sake
Woo Shayari Hi Kya Jisme Khusi Na Mil Sake

Gamo Ke Badal Tu Har Jagah Milege Dost
Pyar Ki Barish Me Bheeg Kar Dekho

Muskan Chere Pe Na Sahi Khusiyu Ko Tu Lete Dekho
Khusiya Jindagi Me Na Sahi Khilkhila Ke Hasna Tu Sikho

Mai Shayar Nahi Jo Shayari Likhu
Dil Me Dard Nahi Jo Sabdo Me Likhu
Tute Dil ka har Tukra ye Kehta hai
Pyaar na karna
Pyaar to bas ek dhoka hai
jo laya karta tha hum se har ek mashwara.

mujh se laye baghir aaj wo nata kase tord gaya.
Dil ki dhadkan se ehsaas tumhara hota hai
Thame koi hath to wo hath tumhara hota hai
chalti hai hawayein to wo pyar tumhara hota hai
meri jaan meri har baat me ab sirf zikar tumhara hota hai
Aaj ke daur mein aye dost yeh manzar kyun hai
Zakhm har ser pe har haath mein patthar kyun hai


Jab haqeeqat hai ke har zarrey mein Tu rehta hai
Phir zameen par kahin masjid kahin mandir kyun hai


Apna anjaam to maalum hai sab ko phir bhi
Apni nazaron mein har insaan sikandar kyun hai


Zindagi jeeney ke qaabil hi nahin abb zakhmi
Werna har aankh mein ashkon ka samandar kyun hai
Bhula Diya Hy Sub Apnon Ne Iss Taraah Se..


Jaise K Hum Iss Jahaan Mein Rehte Hi Nahi.
Is bharay sheher main tanha karta hoon hawa say baatain.

parta hay har qadam zameen par maira majnu ki tarah.
Aik din us nay mujsy pochha: kia mujhy bhol jao gay?
Main ny kaha...

Tum ny dehki nahi phoolon ki wafa??
Wo jis py khilty hain usi par murjha jatay hay.

Bheed Main Ek Ajnabi Ka Saamna Acha Laga
Sab Se Chup Ker Wo Kisi Ka Dekhna acha Laga


Surmayi Aankhon K Neeche Phool Se Khilne Lage
Kehte Kehte Wo Kisi Ka Sochna Acha Laga

Baat Tou Kuch Bhi Na Thi Magar Uska Ek Dum
Haath Ko Honton Pee Rakh Ker Rokna Acha Laga

Dil Main Kitne Ehad Bandhey Thay Bhulaane K Liye
Wo Mila Tou Saare Iraade Todna Acha Laga

Is Adoo-e-Jaan Ko Kaise Main Bura Kahoon
Jab Bhi Aaya Saamne Wo Bewafa Acha Laga
Koi Mila Hi Nahi Jis Ko Wafa Dete
Har Ik Ne Dokha Diya Kis Kis Ko Saza Dete
Ye Hamara Zarf Tha Ke Khamosh Rahe Warna
Daastan Sunatey To Mehfil Ko Rula Dete
Mat Lo Hamare Sabar Ka Imtehan Wafa Ka Naam Lekar

FARAZ

Ab To Jaan Chordo Uski 2 Bachon Ki Maa Hai Woh
Aankhon Main Jal Raha Hai Kio Bujhta Nahi Dhuhaan
Uthta To Hai Ghata Sa Barasta Nahi Dhuhaan

Aankhon K Ponchne Se Laga Aanch Ka Pata
Yun Chehra Peher Lene Se Chuhpta Nahi Duhaan

Aankhon Se Aanso’on K Marasim Poorane Hain
Mehmaan Yeh Ghar Main Aayen To Chubhta Nahin Duhaan