Tum Dhukoon K Sooz Ka

Tum Dhukoon K Sooz Ka
Tum Dhukoon K Sooz Ka

Mosamoon K Rog Ka

Dard Mat Saha Karo..

Udhas Mat Hua Karo..

Yeh Dard Hain Hayat K

Kuch Rang Kainat K

Kuch Dukh Ki Taiz Barishein

Kuch Phool Hain Nishat K

Tum Phool Bus Chunna Karo

Khaar Mat Chua Karo

Udhas Mat Hua Karo..

Udhas Mat Raha Karo..
  

Jun, 01 2010     298 chars (2 sms)     2206 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Wo Suraj Ki Tarah Aag Ugalte Rhe

Hum Musafir Safar Par Hi Chalte Rhe.

Woh Beete Waqt thay,Unhe Ana Na Tha

Hum Saari Raat karwate badalte rahe.
tum per beety gi to tum b jan lo gay,,
,,dost,,
koi nazar andaz kary to kitna dard hota hai...!!
Raqs Karti Hain Gardish-e-Dauran,
Dar Khulay Hain Sharab Khano K,


Chai Peenay Ko Ab Kahan Jayen Faraz,
Bund Hogaye Hain Hotal Pathano K..
Kanch Ka Tohfa Na Dena Kabhi,

Ruth K Log Tod Dia Krte Hai,

Jo Bahut Ache Ho Unse Pyar Mat Krna,

Aksar Ache Log Hi Dil Tod Dia Krte Hai.
muhabat k liye kuch dil makhsus hotay hain dost,



ye wo naghma nahi jo har saz par gaya jaye .........
masmiyat ka ye andaaz bhi mere mehboob ka hai"mohsin"

us ko tasveer mein bhi dekhon to palkein jhuka leta hai...,
Abi To zid hy UsAy rAstA bAdlny ki ''SAGAR''

kbi Wo Roay Ga Khud meri ChAhton k Liye
Milta Tha Mujh S Wo Kabhi Pal Pal K Farq Se
Phir Rafta Rafta Faq Ye Saalo’n Main Aa Gaya
Phir Yun Hua Aankh Se Aansoo Nikal Paray
Chehra Kabhi Jo Us Ka Khyalo’n Main Aa Gaya
jhoot bool kar tu ne use apna mahwar tu bana laya hai"ami"

kal wo teri zindgi ka ek hisa bna tu kaya ho ga soch le..
Yeh na samjho keh Tal rahi hi sham
Apney tewar badl rahi hi sham
Tum nahi aye aur os din se
Mery seeney me Jal rahi hi sham
Pehlti ja rahi tareeeeeki
Ek Dukh se Nikal rahi hi sham
Zard suraj chuppa raha hi Badn
Lamha Lamha Pighal rahi hi sham
Orhati ja rahi hi Khamoshi
Aisa Lagta hi Dhal rahi hi sham
Os ke hamrah chal raha hi Din
Meray hamrah chal rahi hi sham...!
Musam jitne rothey ty sub lot aye
usay kaho ik umer hoi hai ab lot aye
main ne to us ko itni mohlat di ti sagar
k jub woh tanha reh jaye tb lot aye
Kitni ajeeb baat hai k
wahi jo bachpan main
chiria k ghonslay say
girnay walay bachon ko daikh ker
bay chain ho jatey hain
aur pankhay say takra kar
mar janay wali chiria k sog main
kai kai ghantay udaas rehte hain
wahi baray ho kar na janay
kyun aashyanay jala daitay hain?