*Khamoshi*

*Khamoshi*
*Khamoshi*
Kon Kehta Hai K Khamoshyan Khamosh Hoti Hain?

Khamoshyon Ko Khamoshi Se Suno..

Kya Pata,

Ye Wo Keh Jayen..

Jis Ki Aap Ko Lafzon Mei Talash Hoti Hai.
  

Jun, 02 2010     173 chars (2 sms)     30365 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Jis ko bhi dekha hai Rotay howey dekha hai..


Ye Muhabbat to kisi tissue waley ki Dua Lagti hai..
Main Udaasian Na Saja Sakoon
Kabhi Jism-o-Jaan k Mazaar Pe
Na Diye Jalain Meri Aankh Main
Mujhe Itni Sakht Saza Na De
Zara Dekh Phool Ki Pation Ne
Bikhar Bikhar K Tamam Shab
Tera Naam Likha Hai Rait Par
Koi Leher Aa K Mita Na De
Maire Saath Chalne K Shauq Main
Bari Dhoop Sar Pe Uthayega
Tera Naak Naqsha Hai Maum Ka
Kahin Gham Ki Aag Ghula Na De
Main Ghazal Ki Shabnami Aankh Se
Ye Dukhon k Phool Chuna Karoon
Meri Salatnat Mera Fun Rahe
Mujhe Taj-o-Takht Khuda Na De
Mujh me lagta hai k mujh se ziada wo hai

Khud se barh kr mujhay rehti hai zarorat uski.
Jo dil k ainey mey ho wohi hay piar k kabal. warna deed k kabal tu har tasveer hoti hay.........

Piyas Aesi K Pee Jaon Aankain uski
Naseeb Aesa K moyasar Zehar B Nahi
Be-Los Wafain Koi Hum Se Seekey
Jisey Toot K Chaha Usey Khabar Nahi
..Apne hone ka pata de dena

..kabhi guzro to sada de dena

..yaad Aa jaon ibadat main Agar

hath utha ke bus Dua de dena..

chand
Meray dil meray musafir.
Hova pher say hukam sadir.
K watan badar hon hum tum.
Dain gali gali sadaain.
Karain rukh nagar nagar ka.
K soraagh koi pain.
Kisi yar-e-nama bar ka.
Har ik ajnabi say pochain.
Jo pata tha apnay gher ka.
Sar-e-koay-e-tashanayan.
Humain din say raat karna.
Kabi is say baat karna.
Kabi us say baat karna.
Tumhain kia kahoon k kia hai.
Shab-e-ghum bori bala hai.
Humain yah b tha ganeemat.
Jo koi shumar hota.
Humain kia bora tha marna.
Agar aik baar hota.
Yun achanak se aa jati ho samne,

k mai kuch bhi keh paata nahi,

Kya kahu tere husn k sajde me,

Ke koi sher bhi yaad aata nahi
Jo Manzar Ek Bar Guzar Jate Hain Nigah Se
Phir Dhoondti Aankhoon Mein Wo Manzar Nahi Aate
Khuch Log Kisi Baat Per Ate Nahi Hain Yaad
Khuch Log Kisi Tor Bhulaye Nahi Jate
Zakhm Jo Haatho Mein Aaye Hain

Wo Bharte Hi Nahi,

Hum Bahut Khush The Ki

Sheeshe Ka Makaan Tod Aaye...
Tanhaion k Shehar mein aik ghar bana lia
Ruswaion ko Apna muqadar bana lia
Dekha hai yahan pathar ko pojty hain log
bas iss liye apny dil ko Pathar bana lia
Sath nahi rehne se rishte nahi toota karte,

waqt ki dundh se lamhe nahi toota karte.

log kahte he mera sapna tut gaya,

toot ti neend hai sapne nahi tuta karte