Garm-e-Hasrat

Garm-e-Hasrat
Garm-e-Hasrat Nakaam se Jal Jatay Hain,
Hum Chiragho ki tarah Shaam se Jal Jatay Hain,
Shama Jis Aag me Jalti hai Nimiash k liye,
Hum usi Aag me Gum-Naam se Jal Jatay Hain........
  

Jun, 02 2010     182 chars (2 sms)     2167 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tadapte Dilke liye Kuch Qarar le aaye,

Kahin se Pyaar ki Khushboo Udhar le aaye…
apne geetu mai dal kar nelam kar geya
ek esa shaks tha jo badnam kargeya
wo mere dushman he the
jo dohndty rahy zamany bar mai
ye apnu ka he war hai jo kam kar geya
Gam is kadar mila ki ghabra ke pi gaye,

khushi thodi si mili to milaa ke pi gaye,

yun to na thi janam se pine ki adat,

Sharab ko tanha dekha to taras kha ke pigaye
dard apanaataa hai paraa_e kaun
kaun sunataa hai aur sunaa_e kaun

kaun doharaa_e vo puraanii baat
Gam abhii soyaa hai jagaa_e kaun

vo jo apane hai.n kyaa vo apane hai.n
kaun dukh jhele aazamaa_e kaun

ab sukuu.N hai to bhuulane me.n hai
lekin us shaKhs ko bhulaa_e kaun

aaj phir dil hai kuchh udaas udaas
dekhiye aaj yaad aa_e kaun

Mujhe Tou Hosh Nahi Tumko Khabbar Ho Shayad. . .
Log Kehte Hyn K Tum Ne Mujhe Barbaad Kia

Kerti Hy
Sawalat Musalsal Teri
Nigah

Ye Tarz-e-Takalluf
Mujhy Acha Nahi
Lagta

Kehty Hyn Mujhy
Dekh k Aksar Mere
Ehbaab

Ye Shaks Akela
Hy Par Tanha
Nahi Lagta ...
Dil ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sehtey Hain,
Humne Suna Tha Iss Basti Mein Dilwaley Bhi Rehtey Hain,

Beet Gaya Sawan Ka Mahina Mausam Ne Nazrein Badli hain,
Lekin Inn Pyaasi Aankhon Mein Ab Tak Aansu Behtey Hain,

Ek Hamein Awara Kehna Koi Bada Ilzaam Nahi,
Duniya Waley Dil Walon Ko Aur Bahut Kuch Kehtey Hain,

Jis Ki Khatir Sheher Bhi Chhoda Jiske Liyey Badnaam Huey,
Aaj Wohi Humse Begane Begane Se Rehtey Hain,

Wo Jo Abhi Rehguzar Se Chaak-E-Garebaan Guzra Tha,
Uss Awaara Deewane Ko Jalib Jalib Kehte Hai...
kya ajab shaks hai kuch bhed hi nahin khulte uske
jab bhi dekhoon usse duniya se khafa hi dekhoon
Nikli Mohabbat Ki Baat, To Tum Yaad Aa Gayi,
Uthe Dil Mein Woh Jazbaat, To Tum Yaad Aa Gayi,

Yun To Dil Mera Bebas Na Rehta Tha,
Par Badle Jab Halaat, To Tum Yaad Aa Gayi,

Garmi Ne Sukha Diya Tha Teri Yaadon Ko Magar,
Hui Jab Barsaat, To Tum Yaad Aa Gayi,

Sone Chaandi Se Lada Rehta Tha Yeh Jism To Tera,
Dekhe Khaali Mere Haath, To Tum Yaad Aa Gayi,

Tum To Rehti Thi Taaron Ki Basti Mein,
Sochi Apni Auqaat, To Tum Yaad Aa Gayi,

Nahi Sochoonga Tere Baare Mein Yeh Kaha Tha Magar,
Dekhi Teri Baraat, To Tum Yaad Aa Gayi,

Bhula Ke TujhKo Saari Umar Guzaar Di,
Jab Chhoda Zindagi Ne Saath, To Tum Yaad Aa Gayi.
Meri Takmeel mAin Hisa hAy TumhAra B bohAt,




Main Agar Tum se nA milta to Adhura Hota.
Tujhe Bhoolkar Bhi Na Bhool Payenge Hum
Bas Yahi Ek Wada Nibha Payenge Hum
Mita Denge Khud Ko Bhi Jahan Se Lekin
Tera Naam Dil Se Na Mita Payenge Hum
Aye Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Mushkil Lagta Hai Us se Door Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Door Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.