AB Mohabbat Ki

AB Mohabbat Ki
AB Mohabbat Ki Wakalat Nahi Ki Ja Sakti
Shehar Bher Se To Adawat Nahi Ki Ja Sakti
Mera Chehra Meri Aankhain hain Salamat Ab bhi
Kon Kehta HAi Wazahat Nahi Ki Ja Sakti
Baat Ye Hai K Koi Toot K Chahye To Sahi
Her Kisi Se To Mohabbat Nahi Ki Ja Sakti
  

Jun, 02 2010     252 chars (2 sms)     2200 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

us ne milne ki bhi ajeeb sharat rakhi sagar

Chal ana tha sokhe paton par lykn koi ahat na hu...
Mere Paas Waqt Nahi Hai
“Un Logo Se Nafrat Krne Ka Jo Mujhse Nafrat Krte Hai”
Q k,
Main Masroof Hun Un Logo Me “Jo Mujh se mohabbat Krty Hain”,.
Bohat Si Be-sabab Baatai''n
Faqt Tehmeed Hoti Hyn
Jo Aksar Tum Sy Kehty Hyn
Suno !!!
Aur Kese Ho ?
Suno Sardi Bohat Hy Na
Nahi Mausam Tou Acha Hy
Chalo Acha
Hum Chalte Hyn
Dobara Phone Karo Ge
Ye Saari Baatai''n !!!
Faqt Tehmeed Hoti Hy
Aur Is Tehmeed Main Jaan''an
Guzar jate Hyn Jab Lamhey
Tou Phir Hum Sohtey Hyn k
Zara Si Baat Hi Tou Hy
Tumhai''n Jaldi Sy Keh Denge
Humai''n Tum Se Mohabbat Hy ...
diyar-e-dil ki raat mai chirag sa jhala gaya,
mila nahi tu kaya hua,wo shakal tu dekha gaya,
wo dosti tu kher naseeb-e-dushmana huee,
wo choti choti ranjishon ka lutaf b chala gaya
Chand lahmhein Mere Sath Bita K
Meri Ankhon ko Ek Sapna Dekha K

Rangeen Wadion Mein Ab Kho Gey Ho
Mere Dil Mein Tum Aas Laga k

Tumhein Dohndta Hon Har Pal
Sarey Jhaan Ko Mein Bhola K

Ji Na Pao Gey Tum Bhi Kabhi
Meri Yadoon Ko Dil Se Mita K

Khushiya Mana Rhey Ho Ab Tum
Mere Sapnoon Ka Ashyana Jala K
Milta Tha Mujh S Wo Kabhi Pal Pal K Farq Se
Phir Rafta Rafta Faq Ye Saalo’n Main Aa Gaya
Phir Yun Hua Aankh Se Aansoo Nikal Paray
Chehra Kabhi Jo Us Ka Khyalo’n Main Aa Gaya
Na ghamon k geet suna karo,

Na kisi ki yaad mein jala karo,

Ab chor do ye udasian,

khush khush raha karo,

Khuda na karay kisi ko juda,


Haath uthao to ye Dua kia karo,

Nahi bhata Tera udas chehra,

Na preshan hua karo,

suna hy k mantay ho Hamein apna dost,

Hamari khatir hi hanstay raha karo
Yahan Hona Nahi Kaafi
Yahan Ban''na Bhi Parta Hy

Chalo Ek Duusrey K Kuch Na
Kuch Ban Jaye''n Hum Dono''n
Gam nahi waha jaha ho fasana tera,Khushiya dhundti rahe aashiyana tera,Wo waqt hi na aaye jab tu udas ho,Ye duniya bhula na sake muskurana tera..
Aey dost meri chahaton par
aitraz na karna,

Rahe sath hamara bus ye
dua karna,

Main don sath tumhara zindagi k har mor par,

Ager zindahi kam par jay to maaf karn
Mai tasawar bhe judai ka bhala kaisay kron,

Mai ne qismat ki lakeeroo se churaya hai tjhe...
Eik sawal zindagi se kiya karte hain

K hum iss duniya mein kyun jiya karte hain,

Jab kisi k liye kisi k paas waqt nahin to

loug kyu rishtay bana liya karte hain