Ek shararat kertay hain

Ek shararat kertay hain
Ek shararat kertay hain

Aao mohabbat kertay hain

Hansti aankhoun se keh do

Dareya hijrat kertay hain

Kuch dil aisay hain jin per

Hum b hakumat kertay hain

Koi baat to hai mujh main

Dushman b izzat kertay hain

Zinda rehna hai dushwaar

Acha.. to himmat kertay hain

Waisay hotay nahee hain log

Jaisi chahat kertay hain

Aksar apnay aap se hum

Teri shikayat kertay hain
  

Jun, 03 2010     404 chars (3 sms)     4301 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Pura dukh aur adha chand
Hijr ki shab aur aisa chand

Itane ghane badal ke piche
Kitana tanha hoga chand

Meri karawat par jag uthe
Nind ka kitana kachcha chand

Sehara sehara bhatak raha hai
Apane ishq may sachcha chand

Rat ke shayad ek baje hain
Sota hoga mera chand
Muqaddar Main Likhi Koi Baat Ho Tum

Taqdeer Ki Ek Soghat Ho Tum

Kar K Dosti Tum Se Mehsoos Ye Hua

Jaise Sadiyo’n Se Yunhi Mere Saath Ho Tum
Agar didaar ki talab ho,

to nazrein jamaaye rakh!

Parda ho ya nakaab ho,

sarkata zaroor hai!
AB Ke Kerna To Aesi Chahat Kerna
Jisko Aata Hee Na Ho Sikwa Shikayat Kerna
Pehly Khusbu Ke Mizaj Ko Parak Lo
Phir Gulistan Mein Kisi Gul Se Mohabbat Kerna
Mana k Tum Haseen Ho na k is Qadar,
Jitna k Mere Deed ne is Qabil Bana Diya..........
***IBTEDAA***

tum ne mohabbat mohabbat se ziada ki hai

hum ne mohabbat tum se ziada ki hai

tum kiya kro gey inteha mohabbat ki...?

hum ne inteha se hee mohabbat ki ibtedaa'' ki hai !!!!!!!!
rait k gahronde bana kar thori dair k laye spane sjate thy bachpan main..

phir unhain rait k gahrondon ko tord dena gahr wapias jate howe..
Husn-e-Soorat Ke ... Talab-Gar Buhat Hain...

Husn-e-Seerat Ka... Parsitar Hai.. Koi Koi
mujhe maloom hai tu mujhe har gunha k baad bhi bakhash de ga khudya..

kuch asa kar khudya k mian gunaha na kero or tujhe pasand aajao.
tera mera rishta kuch aisa uljha
us ko suljhaty suljhaty
apny dil ki porein zakhmi ker betha
rishta shaid sulajh na paey
lekin is ko suljhany ki dhun main
sary khwab bhula betha hon
apna ap ganwa betha hon
un se dori b bahar,hal qyamat thi magar.

un ko pa kr b chean na aya ye qissa kay he?
Kitni ajeeb baat hai k
wahi jo bachpan main
chiria k ghonslay say
girnay walay bachon ko daikh ker
bay chain ho jatey hain
aur pankhay say takra kar
mar janay wali chiria k sog main
kai kai ghantay udaas rehte hain
wahi baray ho kar na janay
kyun aashyanay jala daitay hain?