Ab kissay kahein aur kon sune jo haal tumhare baad hua
is dil ki jheel si aankho main ik khuab bohat barbaad hua
shehar main kitne chehre the kuch yaad nahi
ek shaks kitabo jaisa tha woh shaks zubani yaad hua...
jab uska dard mere saat wafa karta hay,
Ek samandar sa meri ankhon se baha karta hay.
uski batein muj ko khushbo ki tarah lagti hay,
phool jaise koi sehra may khilla karta hay.......
mai hawa ka jhonka hun
mujhe pakadne ki koshish mar karna.....
ek khwab hun .....
ik khwab hun is khwab se pyar mat karna......
malum nahi mujhe
kisi or hai meri manzil
bas unhi guzarta raha unki galiyon me
ek berukh jhonke ki tarah.......