Ishq fanaa ka naam hain

Ishq fanaa ka naam hain
Ishq fanaa ka naam hain ishq mein zindagi na dekh
Jalwa-e-aftaab ban zarre mein roshni na dekh

Shauk ko rehnuma bana jo ho chuka kabhi na dekh
Aag dabi huii nikaal, aag bujhi huii na dekh

Tujko khuda ka wastaa tu meri zindagi na dekh
Jiski sahar bhi shaam ho, uski dard bhari raat na dekh.
  

Jun, 03 2010     299 chars (2 sms)     5370 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Andheri raat mein rehtey to kitna acha tha...
hum apni zaat mein rehtey to kitna acha tha
dukhon ne baant liya hai tumharey baad hamein
tumharey haath mein rehtey to kitna acha tha.....
***IBTEDAA***

tum ne mohabbat mohabbat se ziada ki hai

hum ne mohabbat tum se ziada ki hai

tum kiya kro gey inteha mohabbat ki...?

hum ne inteha se hee mohabbat ki ibtedaa'' ki hai !!!!!!!!
jub dekho mjhe to apni nigahen tham k dekhna.

kahain meri dard bhari nigahon se tumhain mohabat na ho jaye.
Tu mera naam na poocha kar,
main teri zaat ka hissa hun,
main teri rooh main shamil hun,
main teri neend ka qissa hun,
main tere khuwab ka hasil hun,
main teri yaad ka mehvar hun,
main teri saans ka jhonka hun,
tu manzar main pas-manzar hun,
main lamha hun,main jazba hun,
jazbay ka koi nam nahi,
tu mera naam na poocha kar!!
Der Raat Jab Kisi Ke Yaad Satayee
Thandi Hawa Jab Zulfon Ko Sehlaye
Karlo Aakhe Band Aur So Jaao Kya Pata
Jiska Hai Khayal Wo Khuwabon Main Aa Jaye
Koi es tarah say meray sath adawat tu karta
Qaid kar leta mujhay aur hakumat tu karta
Meinay yeh kab kaha tha k woh sab ko chor day
Woh apnay andaz say karta par mohabbat tu karta
koi raha hai meri aankhon ka bhi haqdar...

aankh kya barsi tu wo bhi sath chor gaya...
Na.. Chaho Kisi Ko Itna Ki,
Chahat Tumhari Majburi Ban Jaye
Chaho.. Kisi Ko Itna,
Tumhara Pyaar Uske Liya
Zaruri Ban Jaye..
Boondain Giri To Aankh Say Aansoo Bhi Gir Gaye,


Barish Ka Uski Yaad Say Rishta Zarur Hai . . . /
Urrti rehti hai 1 gard mujh may.....!
Kon phirta hai dar''badr mujh may.....!
Mujh Ko mujh may jagah nahi milti.....!
Wo hai mojood is qadar mujh may....!
Nazar Se Ishq Ki Jab Roshni c Chanti Hy

Zameen Dil Ki Tamanna K Phool Janti Hy

Kisi Ko Pyar Main Asaan Hai Jaan Keh Dena

Nibhate Waqt Magar Jaan Par Hii Banti Hy
her raat teri yadon ko qatal kar k dafan kr k so jata hun.

per yeh log bare sangdil subha teri adain teri batain le kr aa jate hain.