na koi khawab hamaray

na koi khawab hamaray
na koi khawab hamaray hain na taberain hain
hum to pani pe banai howey tasveerain hain

kya khabar kab kisi insaan pe chaat aan giray
qareya e sung hai orr kanch ki tameerain hain

lut gaye mooft main doonu, teri dolat mera dil
aey sahhee! teri meri aik si taqdeerain hain

hum jo nakhawanda nahi to chalo aao parhein
wo jo deewar pe likhi howey tehreerain hain

ho na ho yeh koi such bolnay wala hai QATEEL
jiss k haath main qalam paon main zangeerain hain
  

Jun, 03 2010     470 chars (3 sms)     2485 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

us ne basya bhi tu apni aankhon main sagar.

roti tu beegh jata khushk hoti tu zakhum lagte..
Tum Bhi Mujhe Chaho Gay Ek Din Dekhna
Haan Pachtao Ge Ek Din Dekhna
Iss Ishq NE Mujhe Jalaya Hai
Tum Bhi Jal Jao Gay Dekhna
tujh say woh kuch paya
jo kuch main nay chaha
sukh kay pal
chahat ki gharyan
etebar kay rutbay
hum sa maghrur kiya tou nay kabhi dekha hai ?
logun nay tou jhooti nabuwat ka dawah kiya
Hum sa khuda !!!!
khudai ka dawa kerta hae
dekh jannah !
teri muhabbat main
hum kitnay maghrur howay
Mil Kar Bhi Ussay Hasrat-E-Mulaqat Reh Gai,
Baadal To Ghar Aaey thay Barsaat Reh Gai,

Wo Aaj Yun Mila K Hamain Janta Na Ho,
Lab To Meray Khulay Thay Magar Baat Reh Gai,

Mai Haar K Bhi Khush Hoon k Tum Jeet To Gaey,
Qismat Main Meri Maat Thi So Maat Reh Gai,

Daaman Main Kya Rakha Hai Is K Siwa Bas,
Bakhshay Jo Tu Nay Zakhm Wo Soughaat Reh Gai,

Kya Kya Badal Rahay Hain Yahan Mousam Khabar Nahi,
DiL K Nagar Main Raat Thi So Raat reh Gai... )
kaash wo pal sang bitaaye na hote,
jinko yaaad kar aaj ye aansu aaye na hote,
khuda ko agar is tarah door le jaana hi tha,
to itni gahraayi se dil milaaye na hote…..
aapke khyalon se fursat nahi milti
humein ek pal b rahat nahi milti
mil to jata hai sab kuch humein
nahi milti to bas apki ek jalak naji milti
Kal raat jane kya howa...
Kuch dier pehle neend se...
Kuch aask milne aagaye...
Kuch khawab bhi tote howe...
Kuch log bhi bhoole howe...

Kuch rasta bhatki hoi...
Kuch gard mien lipti hoi...
Be rabt se sochien kai...
Bhooli hoi batien kai...

Ek shaks ki yaadien kai...
Phir dier tak jaga raha...
Sochon mien gum betha raha...
Ungli se thande farash per...

Ek naam bus likhta raha...
Kaal raat he wo raat thi...
Kuch dier pehle neend se...
Main dier tak rota raha...
Charagh Bujhtey Chaley Ja rhey Hain silsilawar....






main khud ko Dekh rha hoon Fasana Hotey hue
Tu Nafrat Ki Aag Pe Aik Aanso Baha K Dekh
Mohabbat Kitna Wazan Rekhti Hai Usko Azma K Dekh
Wo Roth Jaye Tujhse Bari Baat Nhi Hai
Tu Hans K AIk Baar Usey mana k Tou Dekh
Aaj fir dil hai kuch udas udas,
jane kyu ek mayusi si chhayi hai,
aaj fir palako pe pani hai,
bhid me hu fir kaisi ye tanhai hai.
Tn ne dekha he nahi naksha meri Tanhayi ka ...

Ik qayamat hy jo har shaam Guzar jati hy.
Tumain iss baat pe hai hyrat

k tuta hai hamara dil...

muqabil jab ho pather tou

sheeshy toot he jaty hain