Ankhon Mein Namee

Ankhon Mein Namee
Ankhon Mein Namee, Hansi Labon Par
Kya Haal Hai, Kya Dikhaa Rahay Hoo
Ban Jaayenge Zaher Peete Peete
Yeh Asshq Joo Peete Ja Rah
  

Jun, 03 2010     130 chars (1 sms)     1929 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

khosh raho jawanon...khosh raho jawano...magar apnay kharchay par rehna... kahin idhar na daikhna.
mili hawaon mai urrny ki wo saza yaro

k mai zameen k reshtoon say kat gya yaro

wo bekhyal musafir, mai rasta yaro

kahaan tha bus mai mery us ko rokna yaro

tmam shehr hi jis ki talash mai gum tha

mai kis say pochta us k ghar ka pta yaroo
qasam un mast ankhoon ki main wo lub-raiz-sagar hoon..

jo masti main chalk jaoun,tu mehkhano ko lay dooboon...
ped se patte girte hai
udhanewala koi nahin
pyar toh sabhi kartain
lekin nibhanewala koi nahin
Mere Kandhe Pe Ser Rakh Kar..

Us Ne Pucha K Kab Tak Apne Kandhe Pe Sone dogae...?


Maine Hanste Howe Kaha...!

Jab Tak Log Mujhe Kandha nhi datey
ye kitaboon k Qissy,
Fasano ki baatain

nighaon ki jhilmil,
judai ki raatain

muhabat ki qasmain,
nibhaney k waday

ye dhoka wafa ka,
ye jhotey iradey

ye baatain kitabi,
ye nazmain purani

nahi in main haqiqt,
ye sab hain kahani

na likhna inhain tum,
na mehfoz karna

ye jazbay hain bas,
in ko mehsos karna
Dil ki Halat batana nahi aata …
Kisi ko aisey Tarpana nahi aata ….
Sunna chahte hain ek baar Aawaz aap ki …
Magar baat karne ka Bahana nahi aata
Kya hua jo tumhara saath nahi
Mere hathon main tumhara haath nahi




Mere liye tumhari yaadein hi kafi hain
Muhabbat main zaroori mulaqat nahi




Main sari umar tarsa hon chahat ke liye
Mere naseeb me shayad ye soghat nahi




Iss andaaz se bikhar kar phir simat na saka
Mujhe samaitne wala hi koii haath nahi


Jis ki DOSTI peh naz thaa, wo DOST bhi gaya
Kis qarb se kaha us ne koi baat nahi
Baat baat pe jo yun rooth jate hain,
Hath unse anjane me choot jate hain,
Koi unse kahy k bara nazuk hai pyar ka rishta,
Hanste hanste bhi dil toot jate hain.
ek bar kr k aietabar likh do,
kitna ha mjh se pyar likh do..

kat''ti nahi yeh zindagi ab tery bin,
kitna or karon intezar likh do..

taras rahe hen bari mudat se,
is bar apni mohabbat ka izhar likh do..

deewanay ho jayen jisay parh k hum,
kuch aisa tum mere jan likh do..

zyada nhe likh saktay tou mat likh tum,
mohabat bharay lafz do char likh do..

ik bar likho mohabat hai mjhay tum se,
phir yehi jumla bar bar likh do
Yunhi kisiki yaadmein rona fizul

hai, itne anmol ansu khona fizul

hai, rona to unke liye jo humpar

nisar hai, unke liye kya rona

jinke aashiq hazar hai…
jo us kay chehray pe rang-e-heya thehar jay
to saans, saqt, samandur, hawa thehar jay

wo muskrai to hans hans parhain kai mosam
wo gungunay to bad-e-saba thehar jay

subak khram saba chaal chal parhe jub bhi
hazar phool sar-e-raah aa thehar jay

wo hont, hont par rakh de agar dam-e-akhar
mujhe gumaan hay kay aai qaza thehar jay

main uski aankh main jhankoon to jesay jam jaon
woh aankh jhapke to chahoon zara thehar jay