Aankho mein kyun

Aankho mein kyun
Aankho mein kyun aanso jalak jaate hai,
Tanhaiyo mein kyun gham yaad aate hai,
Aanso poch kar koi yeh bata de humein,
Aksar zindagi mein ghum barbar kyun ate hain...
  

Jun, 04 2010     169 chars (2 sms)     2145 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
Teri yaadon se har ek saans saja li maine,
Jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
Bas wohi ek ghazal sabse chupa li maine....;->
Suno Ge To Ro De ge Yeh Meri Kahani Hai
Kyun Bataon Anjam-e-Ulfat Yeh Meri Kahani Hai
Halat Jo bhi Hon Hum Usey Chahain Ge
Kyun Likhon Bura Usko Ye Meri Kahani hai
Dard mujhe hai to wo Bhi To Beqarar hoga
Mein Hon Bechain To Wo Bhi Bimaar hoga
Ise Pagal Pan Samjho Yaa Dewangi Meri
Kyun Likhon Usey Khud Se Juda Yeh Meri Kahani hai
Raton ko Kerwatain Badalna Mera Nishani Hai Mohabbat Ki
Wo Bhi Ginta Hoga Tare qasam KHUDA ki
Mohabbat Badnam hai Iss Liye Mujh Pe Yeh Ilzam Hai
Kyun Likhon Usey Herjai Ye Meri Kahani Hai
Hasret Se Dekhna Tasveeron Ko Uski Ajab Nahi
WO Bhi Chahti hai mujhe iss mein tajub nahi
Raahain Juda Hain To Kia Hua Manzil Ek Hai
Kyun na Likhon "Kaash" Hamsafer Usey Apna Ye Meri kahani Hai
Apna aap
Aj wo muddat baad aaye
Bus yeh kehnay
Jaana
Meray saray khat lota do
Sub tasveerein kalam
Kitabein
Wapis kar do saray tohfay
Mujh say sab kuch magnay wali
Jatay jatay
Meray kamray ki chokhat par
Chorr gae hai
“APNA AAP”
Kabhi aa ker mujhse mil, mera haal mujhse poch...

Ghairon ke kehne pe youn badguman na ho...
Har darkhan k sath dil
tera naam leta hai,

Tera khayal meri tooti sansoon ko tham leta ha,

Jab bhi tanhaeyan
Satati hai,

Tera tassawor mera haath thaam leta hai.>
Kaise Batau Use,

Nahi Isme Koi Meri Khata,

Khel Hai Ye Sitaron Ka,

Ye Chand Tu Use Bata;

Bandish Hai Ye Fizao Ki,

Aa Maangle Khuda se Ek Umar Duao ki
Khamoshi Ka Asar
Gehra Hota Hy
Awaaz Sy

Ye Bohay Kuch Keh
Jaati Hy Apne
Andaaz Sy ... !!
Loog Kehtay Hain k Mulaqat Nahi Hoyi,
Hum tu Rooz Miltay Hain Lekin Baat Nahi Hoti....
mehkati batoon se...
Ulajti sansoon se...
Sarakte aanchal se...
Aankhnon ke kajel se...
Teri muskurahat se...
Dil ki chahat se...
Gulabi gaalon se...
Haseen khayalon se...
Teri tusveer se...
Apni taqdeer se...
In sab se pocha hai main ne
kia wo mera hai jise chaha hai main ne
Wabasta Meri Yaad Se Kuch Talkhiyan Bhi Theen

Acha Kia MUjhko faramosh Ker Dia
bohat hain khwaab magar khwaab hi se kia hoga

hamaray beech jo hayal hai woh haqeeqat hai
Unke husn ke charche logo se suna karte hai,
mehfil me unke aane ke bahane dhunda karte hai,
deedar jo unka hua to hum bhi ho gaye kayal,
ab is bemishal husn ko bayan karne k alfaz dhunda karte hai.