Mohabbaton mein ham

Mohabbaton mein ham
Mohabbaton mein ham loag jhuka nahin kartay
Lafz MOHABBAT lab say adda nahin kartay
Jo palat kar dekhay per sadda na day
Us shakhs k liay ham ruka nahin kartay...
  

Jun, 04 2010     166 chars (2 sms)     2058 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Meri Zindagi k Mizaj ka

yeh chiragh kuch naya nahi

kabhi roshni, kabhi teerghi

kabhi jala hwa, kabhi bujha huwa


Mri Zindagi bhi meri nahi

ye hazaaar khano ma bat gae

mujay ik mut-the zamein day

yeh zamein bhi kitni simat gae


yeh jo aag ki bail thee

mray tan badan say lipat gae

mujay siskion nay jaga dia

mri kache neend uchat gaee


JAHAN MERA LIKHA GIA

WAHIN ROSHNAI ULAT GAE

AJJ JAANEY KI ZID NA KAROU
HUM TOU MAR JAYE GAY HAYE LUT JAYEGEY
AESI BAATAIN KIYA NA KAROU..

TUM HI SOUCHOU ZARA KYON NA ROKAIN TUMHAIN
JAAN JATI HIA JUB UTH K JATEY HO TUM
TUMKO APNI QASAM JAN E JAAN
BAAT ITNI MERI MAAN LOU...

AAJ JANEY KI ZID NA KARO
YOUN HI PEHLOU MAI BETHE RAHO
AAJ JANAY KI ZID NA KAROU
HAYE MAR JAYEGEYHUM TOU LUTT JAYEGEY
AESI BAATAIN KIYA NA KAROU...

WAQT KI QAID MAIN ZINDAGI HAI MAGAR
CHAND GHARYAAN YAHI HAI JO AZAAD HIA
INKO KHOOO KAR MERI JAAN E JAAN
UMR BHAR NA TARASTEY RAHO.......
AAJ JANAY KI ZID NA KAROU

KITNA MASOOM RANGEEN HAI YE SAMAAAN
HUSN AUR ISHQ KI AAAJ MERAAJ HAI
KAL KI KISS KO KHABAR JAAAN E JAAN
RUK LOU AAJ KI RAAT KO.......
AAJ JANEY KI ZID NA KAROU.....
kabhi dard to kabhi dua di hai,
dil ka chain aur aankhon ki neend uda di hai;
ye teri yaade hai ya mere dard ki inteha,
palkon ki katro pe nami saja di hai.
Lab kuch bhi kahe is se hakiqat nahi milti.
Insan ke such jhoot ki pehchan hain aankhain.
Gilay shikWay kro mjse ...tmhe jaana ijaazat hAy


lakin Baat na krne se Ta''alaq Toota nhi kartay
Main chahta hi na tha use Lajawab karna

Wrna jawab mere paas us k har swal ka tha

Uski jeet se hoti thi khushi mujhko
Yhi jawaz mere pas apni haar ka tha..
Bohat masroof ho shayad...!

Hamrai yaad bhi tum ko nahin aksar satati ab,

Bicharnay tak se milnay ka,

Koi wada nahin kartay,

Koi khat bhi nahin likhtay,

Gila karna to chahtay hain,

Tumhari berukhi ka hum,

Magar us k liay kuch waqat bhi darkar hota ha,

Jo tum ko mil nahin sakta,

Kiyon k,

Bohat masroof ho shayad...!
Tumhain bakhsi hay dil ki hukmarani, aur kya detay?
yehi thi bus hamari rajdhani, aur kya detay?

saja ker sir hatheli per gaye thay koo-e-jana me
hum apnay ishq main unko nishani aur kya detay?

woh hamsay mangta tha umar ka ik dil-nasheen hissa
na detay usko hum apni jawani, aur kya detay?

Sitaaron se kisi ki maang bherna ik fasana hay
tumharay naam likh di zindagani, aur kya detay?

Bichartay waqt usko ik na ik tuhfa to dena tha
Hamaray paas tha aankhon me paani, aur kya detay
Wafa Ke Naam Se Woh Anjan The
Kisi Ki Bewafai Se Shyad Preshan The
Hamne Wafa Deni Chahi To Pata Chla
Hum Khud Bewafa Ke Naam Se Badnaam The
har darkhan k saath dil tere nam leta hai,
tere khayal meri toti sanson ko tham leta hai,
jb b tanhaiyan satati hain,
tere tassawor mere hath tham lete hai
zalzalay younhi Besabab nahi atay Faraz,

Koi dewana tah-e-khak tarapta hoga...
Main Udaasian Na Saja Sakoon
Kabhi Jism-o-Jaan k Mazaar Pe
Na Diye Jalain Meri Aankh Main
Mujhe Itni Sakht Saza Na De
Zara Dekh Phool Ki Pation Ne
Bikhar Bikhar K Tamam Shab
Tera Naam Likha Hai Rait Par
Koi Leher Aa K Mita Na De
Maire Saath Chalne K Shauq Main
Bari Dhoop Sar Pe Uthayega
Tera Naak Naqsha Hai Maum Ka
Kahin Gham Ki Aag Ghula Na De
Main Ghazal Ki Shabnami Aankh Se
Ye Dukhon k Phool Chuna Karoon
Meri Salatnat Mera Fun Rahe
Mujhe Taj-o-Takht Khuda Na De