Meri Dharkano Me Aap

Meri Dharkano Me Aap
Meri Dharkano Me Aap Ka Hi Raaz Hoga
Meri Baat Ka Bus Yehi Andaaz Hoga
Khabi Be-Wafai Nahi Karte Dosti Me
Hamari Dosti Pe Aap Ko Hamesha Naaz Hoga
  

Jun, 04 2010     150 chars (1 sms)     1965 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tum Nay Murjhai Huway Phool Kabhe Dekehy Hain?
Dil Ki Qabroun Per paray
Hijer Ki Lash Ki Aankho Per Dharay
Tum Nay Uktae Huway Khuwaab kabhe Dekhey Hain.?
Derd Ki Palkoun Say Liptay Huway
Ghebraey Huway..
Tum Nay Beychain Duaain Kabhe Dekhi Hain?
Muhabbat K kinaroun Per Bhatakti Phirti
Tumnay Dekha Hai Mujhay,,?
Kia Kabhe Dekha Hai Mujhay,?
main bad dua to nahin de raha tum ko

magar dost khuda kare ke tumhen mujh sa koi na mile..
ek kaanch sa khwaab tha,

toot gaya..

main jaan gaya,

tum meray nehi..

par jaana bhi to kis pal main!

jab aas ki pyaas nay,

shidat k sub sehra jungle paar kiye...!!!
Kahin aisa na ho Daman jala lo
Humarey Aansoon per khaak daalo

Manana hi zaroori hai tu phir tum
Humein sab sey khafa ho ker mana lo

Buhat rooyi hoi lagti hain aankhien
Meri khatir zara kajal laga lo

Akailey pan sey khoof ata hai muj ko
Kahan ho aye mere khawabon khayalo

Buhat mayoos bheitha hon mai tum sey
Kabhi aa ker mujey khairat mai daalo



Kahin aisa na ho Daman jala lo
Humarey Aansoon per khaak daalo
Yahi hai zindgi kuch Khvaab, chand ummiiden,

Inhiin khilaunon se tum bhi Behal sako to chalo
Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe

Ik Chand Mujhay Nazar Aaya
Bas Ankhon Say Molaqat Hoe

Es Chand Ki Naram Nigahon Say
Es Dil Ki Har Ik Baat Hoe

Es Chand Ki Ghani Zulfon Main
Kab Sham Hoe Kab Raat Hoe

Bas Yeahe Ik Baat Hoe
Ik Naey Pyar Ki Shurwat Hoe

Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe
Kabhi Arsh Per Kabhi Farsh Per
Kabhi Un Ke Dar Kabhi Dar Badar
Ghum-E-Aashiqi Tera Shukria
Mein Kahan Kahan Se Guzar Gaya
Qiyamat khez hain aankhen tumhari!!
Tum aakhir khawab kis k dekhte ho...
door ja k bhi us se door ja na ske.
kitna roye hm us ki judai main bta na ske
M o h a b b a t

Mohabbat Ek Shajar Hy

Aur Shajar Ko Is Sy Kia Matlab

K Is Ki Chhao''n Main Koi

Thaka Hara Musafir Aa k Betha Hy

Ab Is Ka Rung Kia Hy ?

Nasal Kia Hy ?

Kahan Sy Aaya Hy ?

Isay Kis Simt Jana Hy ?

Shajar Ka Kaam Tou Bas

Chhao''n Dena Aur Dhoop Sehna Hy ..
Har pal ki dostika irada he apse

Apnapan hi kuch zyada he apse

Na sochenge sirf umar bhar keliye

Kayamat tak sath nibhayenge ye wada he apse
Tere Pyaar Bhari Aankhon Mein Aansoo Achche Nahin Lagte
Chaahe Jitnaa Bhi Roye But Kabhi Sachche Nahin Lagte