Khud Apny Ko Dhundha Tha
Main Ny Tujhy Yun Chaha Tha
Tu Bilkul Waisa Nikla
Jaisa Main Ny Socha Tha
Apny Zakham Dekhata Kiya
Woh Bhi To Muj Jaisa Tha
Sath Mera Woh Kiya Deta
Woh Khud Bheeir Main Tanha Tha
Mujh Ko Mila Eik Umar Ky Baad
Jo Meri Umar Ka Hisa Tha!!!
jab kabhi
koi yaad
achaanak ankhein chabho jae
to meri hatheliyon ke lams ki baaz gasht
honton se lagaana
use saanson se garm karna
or palkon ko band kar ke
ankhon se choom lena