Ik chand tanha khara raha

Ik chand tanha khara raha
Ik chand tanha khara raha
Mere aasamn se zara parey

Mere saath saath safr mein tha
Meri manzilon se zara parey

Teri justju k hisar se
Tere khawab Tere khayal se
Mai wo shaks tha jo khara raha
Teri chahton se zara parey

Kabhi dil ki baat kahi na thi
Jo kahi to wo bhi dabi dabi
Mere lafz poorey to thay magr
teri sma`aton se zara parey

Tu chala gya mere hamsafr
Zara dekh murr k to ik nazar
Meri kishtiyan hain jali hoi
Tere sahilon se zara parey
  

Jun, 04 2010     469 chars (3 sms)     4738 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

bahane bahane ye kambkhat khuwaish tikaane banati hai di main..

dabe paaon aa kar muhabat ki shazish bari khak urati hai dil main..
Waqt ki rahon me aap bhula de chahe hume per hum aapko bhula nahi payenge pyar se awaz dena sapne me hum haqiqat main chale ayenge.
main to phool hoon, murjha gaya to malal kaisa










tum to mehek ho tumhe abhi har phool mein samana hai.
Me Apne Aap Se Barh

Ker Kissi Ko

Kio Chahoo

Mujhhi Pe Khatam Hai

Kissa Meri

Muhabbat Ka!
Ye Neend Ki Devi Bhi
Ajab Dushman-e-Jaan Hy

Aankho''n Sy Sada Duur
Rahey Raat Gaye Tak ... !!
Falsafa-e-Ishq Mein Pesh Aaye
"SawaloN"Ki Tarah

Hum Pareshan Hi Rahe Apne
"KhyaloN"Ki Tarah

Jb B Anjam-e-muhabbat Ne Pukara Khud Ko

Waqt Ne Pesh kiya hum ko "Misalon" ki tarah

Zikr jab ho ga muhabat mein tabahi ka kahin''

Yaad "Hum
aayen gay
Duniya ko "Hawaalon" ki tarah,!!"
Mohabbat Na Rahe Tou Phir
Raha Kuch Bhi Nahi Kerta

k Itni Taiz Aandhi Main
Bachaa Kuch Bhi Nahi Kerta

Wo Mujh Ko yaad Rakhna
Ab Gawara Hi Nahi Kerta

Main Jis Ko Yaad Rakhne
K Siwa Kuch Bhi Nahi Kerta

Kaha Tha Tujh Se Nadaan
k Zulm Ki Taiz Baarish Main

Siwaye Kachy Makano''n k
Gira Kuch Bhi Nahi Kerta ...
mar kar bhi us ko dekhtay rehnay ki chah mein


ankhain kisi ko apni amanat mein day gaya
pachli raat ana tha us ne mare khuwab main.

haye us k khayal ne raat bhar sone na daya.
Soo baar Chaman Mehka
Soo Baar Bahar Aye
Duniya Ki Wohi Ronaq
Dil Ki Wohi Tanhai
Yeh Raat Ki Khamoshi
Yeh Alam-E-Tanhai
Phir Dard Utha Dil Mein
Phir Yaad Teri Aaye
Iss Alam-E-Veran Mein
Kia Anjuman Aarai
Do Roz Ki Mehfil hai
Ek Umer Ki Tanhai
Her Dard-E-Mohabbat Se
Uljhi Hai Gham-E-hasti
Kia Kia Hamain Yaad Aya
Jab Teri Yaad Aye
Unke chehre ko ankhn s hata sakte nhi
dil ki betabi ki surat dikha sakte nhi
kitni dilchasp hain Mohabbat ki majburiyan
samne manzil ha or kadm bada sakte nhi
Mujhe seene Se Lagne Wala Koi Nahi !! Agar Rooth Jaon Tu Manane Wala Koi Nahi !! Ye apne Zidi Kab se Ho Gey !! Agar Mar Gaya Tu Kafan Pahnane Wala Koi Nahi !!