Kaghaz kaghaz haraf

Kaghaz kaghaz haraf
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai,
Tanhai mein sheher basaaya karta hai,

Kaisa paagal shaks hai saari saari raat,
Deewaroon ko dard sunaya karta hai,

Ro daita hai aap hi apni baatoon par,
Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai...!
  

Jun, 04 2010     244 chars (2 sms)     1902 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

SanG DiL hY Wo To Q Us ka Gila maine kia


jb k khud Pathar ko butt'' Butt ko Khuda maine kia

Kaise Namanoos Lafzoo ki kahani Tha Wo Shakhs

Us ko kitni mshkilo Se Tarjma maine kia
KHAWAB

ZINDAGI

MERI

Mana k teri yaad se ghafil zaroor hoon

Lakin teri zaat ka Munkar nahi hoon main.
Jidher bhi jaoon nazar mein us ka chehra rahta hai....
Woh mere dhiyan ke sabhi raastoon mein rahta hai...
Bichadh kar us se pereshan mein to hoon....
Per suna hai wo bhi uljhanoon mien rahta hai...
Kisi Sabab Se Agr
bolta nahi hon me!

To Youn nahi K tumhe Sochta nahi hon me

Me tmko Khud se juda Kr K Kis tarah dekhon

K me b tum hon Koi dosra nahi hon me

Mere badan Ki hr Eint me ana rakhi hai

Me Khud bana hon Aisa
banaya hua nahi hon me

Mere wajod K Andar muje talash na Kr

K is makaan me Aksar raha nahi hon me

Me Ek umr Se Khud Ko talash Kr raha hon

MAGAR

Muje YAQEEN nahi, hon b Ya nahi hon mein . . . /
Tum Ne Dekha Hai Kabhi Chand Per Behta Pani..??

MAiNe Dekha Hai Ye Manzar Apna Moun Dhotay Howe... ;->
Apki muskurahatien kabhi kam na hon
apki ankhien kabhi nam na hon
apko milay zamanay ki har khushi
bhalay us khushi main hum na hon

bas gayi hai ye mere ahsaas main kaisi mahak
koi khushboo main lagaoon teri khushboo aaye
Apna dil apni tabahi ka sabab hota hai,

Yeh Muhabbat ka zamana b ajeeb hota hai,

Kon c baat ney kis shakhs ka dil tor diya,

Bolney waley ko ehsas hi kab hota hai..
meri taqdeer may ruswayi agar likh di hay
phir mujhay apni muhabbat may hi ruswayi day
Kuch nahi hai magar meri zindgi mai tum ho,

Aarzu justuju meri bundgi tum ho,

Bhol jaon ye tumne socha kese..

Meri har nazar meri har dua me tm ho,

Bdal b dalon me khd ko lekin..

Mre hr khyl hr soch me tm ho,

Chahon mgar na chahon tre siwa kisi ko..

Mri pehli mohbt akhri khawish tmho.
Aapki yaad aaye to dil kya kare,

Yaad dil se na jaye to dil kya kare,

Socha tha sapno me mulaqat hogi,

Magar nind hi na aaye to hum kya kare
Al-Wida..
Hamain jab Al-wida kehnay lago tow muskra daina..
Sitara sath ker daina..
K rastay mein andhairay bhi tow aein gay..
Kisi harf-e-Dua ka istaara sath ker daina..
Hamain zaad-e-safar ko tumhari yaad ki sogaat kafi hai..
Tumharay sath mein guzra howa pal bhi ghaanimat hai..
kabhi tehray jo rastay mein..
Sunehari yaad ki surat tumhain ham-rah paein gay..
Tow ham tanha kahan hoon gay..
Magar phir bhi..
Hamain jab al-wida kehnay lago tow muskura daina..
Sitara sath ker daina..
Kisi harf-e-Dua ka istaara sath ker daina.. !!