Main Nay Is Fiker Main

Main Nay Is Fiker Main
Main Nay Is Fiker Main Kaati Kayi Raaten Kayi Din
Meri Shayri Main Tera Naam Na Aaye Laikin
Jab Teri Saans Meri Saans Main Ras Gholti Hai
Mari Shayri Sach Bolti Hai ....
  

Jun, 04 2010     173 chars (2 sms)     2338 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ek ehsaas hay yeh rooh se mehsoos karo
pyar ko pyar he rehnay do koi naam na do
Be KHudi Ki ZindaGi Hm Jia Nhi Karte,



jaam Doosron Se Cheen Kr Hm Pia Nhi Karte,



Un KO Muhabat hY To AA kr Izhaar KaraY.



Peecha Hm B kisi Ka Kia Nhi Karte,
Dil ki ek ek dhadkan pe

Sanson ke aane jane pe

Lahoo ke ek ek qatre pe

Tera naam likha hai main ne

Us unmit sy''yahi se

K tera naam to mit na paye ga

Ye banda hi mit jaye ga !!
Ye banda hi mit jaye ga !!
Apni Dharkano se Kch aisey mera Naam Lo
Ye Waqt ruk jae Is Lamhay ko Tham lo
Teri Ankhon me Jhalak hai aesi meray Pyar ki
Saahil pe Dhalti jese Haseen Sham ho
main jaan tu gaya hon apne jeene ki wajha.

per wo khuda se mere marne ki dua kaoun kerta hai.
Agar Ehsaas Ho To Mohabbat Ko Kar Lo Mehsoos


,
Ye Wo Jazba Hai Jo Lafzon Mein Samjhaya Nahi Jaata



Dosti Ke Liye Mohabbat Aur Khuloos Hai Lazim



Har Haath Milane Wale Ko Dost Samjha Nahi Jaata



Bahut Kam Hai Log Jo Dil Mein Utar Jaate Hai



Har Raah Chalte Ko Apna Banaya Nahi Jaata



Koshish Se Badal Jati Hai Takdeerein



De Kar Ilzaam Qismat Aur Dil ko Behlaya Nahi Jaata
Ajeeb hy ishq ka meya''ar aadmi k liye

K apne aap se bezaar hy kisi k liye

Tamam umr diye zakhm jis ne

Tarap raha hy Mohabbat mein dil Usi k liye...
Dil Hai Nakam Iss Liye Chup hon
Dard hee Dard Hai Subha Sham Iss Liye Chup hoon
Keh To Doon Zamane Se Dastan Apne Dil Ki
Per Uss Mein AYe Ga Tera Naam Iss Liye Chup Hoon
Hamare sabra ka ya rab! koi inaam ho jaye
are rukh se hate parda or hamara kaam ho Jaye

bharam rakhna hai saqi ka gire hai dagmaga kar hum,
agar hum hosh mai rah jaye wo badnaam ho jaye,

hamara naam to aaye kabhi najuk si hotho pe
koi pegaam na bhejo koi iljaam ho jaye,

nikal aaye jo shab ko bhi to roshan ho sabhi manjar,
bikhre julf to din mai gahri shaam ho jaye

karamat de mere maula mere fun ko, zara kuch yu jo utre un ki aankho mai idhar unka ilhaam ho jaye,

koi pahucha de apni arz ko un tak kabhi Rahul,
hamari har gazal unke liye paigaam ho jaye
Phool Khushboo Ke Nashe Main Bikhar Jate He
Log Pehchan Banate Banate Marjate Hein
Maanzil Un Ka Hi Mukkadar Hoti He Talab Ho Jinko
Be Talab Log To Manzil Se Ghuzar Jate Hein
Sara Sher Dil Ka Ghum Gheen Hai
Teri Wo Baatey Thrpati Hain
Teri Wo Yaadey Rulati Hain
Mar Kar Bhi Tumey Na Bhool Payenge
Yeh Kiye Howey Waadey InshALLAH Hum Nibahtey Rahey Ge
Yeh Kasam Hai
Teri Meri Dosti Ki
Kisi Din Aana Azmana
Hum Teri Rahey Dekhtey Hongey
Tairy Tarz-e-tagaful sai hamain kia gila dost
.
Shayed hamain hi nahi ata dilon mai ghar karna