Shayad zindagi ke

Shayad zindagi ke
Shayad zindagi ke sitam abhi aur baaki the
Jo mujhe maut naseeb na hui
Shayad kisi ki mohobatt ke vaade adhoore the
Jo mujhe khushi naseeb na hui
  

Jun, 04 2010     149 chars (1 sms)     2160 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Yaad Rakhna Mout Ki Tijarat Ko Zindagi Nahi Kahte




Insaan Ke Dushaman Ko Insaan Nahi Kahte
Us ke cheray ki sanjidgi Batati hai







Us ko Husnay ka shoaq tha pehLE
PARVEEN SHAKIR

Tumhry ''KHWAB'' sajany mein lutf aata hai...

K apna aap ''JALANY'' mein lutf aata hai...

Khuda say jb ap k lye dua karti hn
Mujhy ye "HATH" uthany men lutf aata hai...

Teri "YAAD" mein bas jaagtay rahein shab bhar...

Khd apni NEEND churany me lutf aata hai...

Teri "ZAAT" se hai be_panah "PIYAR" hamein..

Tumhary "NAAZ" uthany men lutf aata hai.
Mohabat rog hoti hai kaha bhi tha
Rula k kud bhi roti hai kaha bhi tha
Isay tum dil ki dharti ka pata mat do
Yeh us mai dard boti hai kaha bhi tha
Marhala-e-mohabat mai khushi k bad
Ghamon ki rut bahut nazdeek hoti hai kaha bhi tha
Luta kar dil ko ronay say hai kia hasil
Tmhara Ahshk bahut nayab moti hai kaha bhi tha
yeh tum ko sir say paon tak bus rakh kar daygi
bahut bay dard hoti hai kaha bhi tha
Tumhara jutha pyar ko hamari zindagi samja,
Tumhe apna dil deke tumhara dard liya,
Tumhare khel ko me samaj na saka,
Tumko bewafa kehne ka kabil na raha
Kuch to jite hai jannat ki tamanna lekar,

kuch tamannaye jina sikha deti hai.

Hum kis tamanna ke sahare jiye,

ye zindagi roz ek tamanna badha deti hai.
Mere Ishq Ne Seekh Li
Hai Ab Waqt Ki Taqseem
"Faiz"

Wo Mujhy Bohat Kam
Yaad Aata Hy Sirf Itna
k Har Saans k Baad ..
wqat halat bhol jaty hain
ek ek bat bhol jaty hain
hum ne daikha hai hai log pal bhar main
apni uoqat bhol jaty hain
Usoolon pe jo aanch aaye to takraana zaroori hai
Agar zinda hain to zinda nazar aana zaroori hai

Nayi umro ki khudmukhtaariyon (arrogance) ko kaun samjhaaye
Kahan se bach ke chalna hai kahan jaana zaroori hai

Thake haare parinde jab basere ke liye lautein
Saleeka mand saakhon ka lachak jaana zaroori hai.

Saleeka hi nahin shaayad use mahsoos karne ka
Jo kehta hai khuda hai to nazar aana zaroori hai

Mere hothon pe apni pyaas rakha do aur phir socho
Ki iske baad bhi is duniya mein kuchh paana zaroori ha
Jata Jata K Muhabbat,

Dikha Dikha k Khaloos,

Boht Kareeb se Loota hY.


''''APNO''''

Ne mujhe.
Raat Ki Rani Hy, Ya
Teri Yaado''n Ki
Khushbuu

Kuch Tou Hy, Jo
Aangan Mere Ehsaas
Ka Mehka Deta Hy !!!
Wo silsily wo shoq wo nisbat nahi rahi...
Ab zindagi main hijr ki vehshat nahi rahi...
Tota hai jab se us ki masihai ka talisam...
Dil ko kisi maseeha ki hajt nahi rahi...
Phir yon hua k koi shnasa nahi raha...
Phir yon hua k dard main shidt nahi rahi...
Phir yon hua k ho gaya masroof wo buhat...
Or hum ko yaad kerne ki fursat nahi rahi...
Ab kya kisi ko chahain k hum ko tu in dino...
Khud apne ap se b mohabbat nahi rahi...