Aks-e-khushboo hoon

Aks-e-khushboo hoon
Aks-e-khushboo hoon, bikharnay say na rokay koi
Aur agar bikhar jaoon to mujh ko na samaitay koi

Kaamp uth-ta hoon main yeh soch k tanhaee main
Meray chehray pe tera naam na parh lay koi

Jis tarah khuwaab meray ho gaye reza reza
Iss tarah say na kabhi toot k bikhray koi

Main to uss din say harasan hoon k jab hukam milay
Khushk phoolon ko kitabon main na rakhay koi

Ab to iss rah say wo shakhs guzarta bhi nahi
Ab kis umeed pe darwazay say jhankay koi

Koi aahat, koi awaz, koi chaap nahi
Dil ki galiyan bari sunsaan hain, aye koi
  

Jun, 04 2010     552 chars (4 sms)     2422 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kitno Ki Taqdeer Badalni Hai Tumhein
Kitno Ko Rasto Pey Lana Hai Tumhein
Apni Hath Ki Lakeron Ko Mat Dekho
In Lakeron Say Agay Jana Hai Tumehin
KAHAN A DOST CHALTE JA RAHE HO
BAHOOT AAGE NIKELTE JA RAHE HO

CHALE JAOW MAGAR YEH TO BATAOW
YEH RESTE KION BADALTE JA RAHE HO.
aankho me raha dil me utar kar nahi dekha,
kashti ke musafir ne samander nahi dekha,
yaaro ki yaari ka yakine kar liya maine,
unki baaho me chhupa khanjar nahi dekha.
hawa jab sard patton ko juda shakhon se karti hai,
to humain tum se bichar jana bhut yaad aata hai ....
Dosti ka rishta purana nahi hota,
Iss se bada koi khazana nahi hota,
Dosti pyaar se bhi pyari hai,
Kyun ki iss mein koi DOST pagal ya deewana nahi hota.
Mai tasawar bhe judai ka bhala kaisay kron,

Mai ne qismat ki lakeeroo se churaya hai tjhe...
Tum ne Chaha he na tha,Warna Halaat Badal sakte theY,

Hmari Ankhon k Yeh Aanso kisi Aur ki Ankhon se nikal Sakte theY,


Tum To rahi Jheel k Paani ki Tarah,

DarYa Banti To Door Nikal sakte TheY.
DUwa Tu Najanay kon c thi
zehan main nahi
bas itna yad ha
do hathay-liyan mili howi thi
jin main ik meri thi or ik tumhari
Bas Itna Hi Chahna
Mere Baad Meri Ulfat Ko

k Agar Kabhi Main Yaad
Aao''n Tou Khud Se Pyar Krna
Dil k arman ko dil me sula na dena

apni khubsurat aankho ko rula na dena

kal kisne dekha he

aakhir hum na rahe to hume bhula na dena.
q kehtay hain log k sohbat ka asar parrta hai.

mohsin

main to bewafaon ki mehfil mein reh kar bhi wafaaen nibhata raha..!!
na buhla sake hum haseen wadon ko..

khudi bhool bathe mujhy yaad delane wale..