Milta tha mujh sai woh kabhi pal pal k farq sai..
Phir rafta rafta farq yeh saalon mai aa gaya...
Phir yoon hua k aankh sai aansu nikal parray...
Chehra kabhi jo us ka khayaalon mai aa gaya !
Dekhoo Muhabat Karoo Tu Itni Karoo K Koi Had Na Rahay
Intezar Karoo Tu Itna Karoo K Koi Waqt Na Rahay
Bharoosa Karoo Tu Itna Karoo K Koi Shak Na Rahay
Nafrat Karoo Tu Itni Karoo K Phir Muhabat Na Rahay
Sapno se dil lagane ki aadat nahi rahi,
har waqt muskurane ki aadat nahi rahi,
ye soch ke ki koi manaane nahi aayega,
ab hume rooth jaane ki aadat nahi rahi