Gham me hasne walo

Gham me hasne walo
Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata,
lehro se pani ko hataya nahi jata,
hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
kisi ko kehkar apna banaya nahi jata
  

Jun, 04 2010     164 chars (2 sms)     2474 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kisi ne hume aashiq kaha,

Kisi ne hume diwana kaha....

In aankhon me aansu tab aaye,

Jab apnon ne hume begana kaha....
Shikwah hai meri chup ka Sarosh aaj unhii ko
jo log meri batoon se bezaar buhut thay
Tujhy bhul jaon ye koshish kr k dakhun ga..

wesy daryaon ka ulta behna mumkin nai..
bicher ker juda tou nahi ho gaye hum
kahin be-wafa tou nahi ho gaye hum

jo milna bhi chahain tou ab mil na payein
youn be-aitnaa tou nahi ho gaye hum

magar phir bhi khilqat hamain poojti hai
agarcha khuda tou nahi ho gaye hum

kharay hain azal se sag-e-reh ki surat
kahin rehnuma tou nahi ho gaye hum

teri yaad aati hai fursat mein aksar
tere mubtila tou nahi ho gaye hum
KHAWAB

ZINDAGI

MERI

Mana k teri yaad se ghafil zaroor hoon

Lakin teri zaat ka Munkar nahi hoon main.
Hum nay socha k Duniya Say kinara Ker lain.
Hum nay dekha k Hum hi ronaq-e-mehfil nikly.
Koi Dukh Na Ho
Koi Gham Na Ho

Koi Aankh Kabhi Purnam Na Ho
Koi Dil Kisi Ka Toray Na

Koi Saath Kisi Ka Choray Na
Bas Pyar Ki Nadiya Behti Ho

Kaash K Dunya Aisi Ho
phir yahan kya maray hone ka jawaz!!!!

gahr nahein koi muntazir mera,,,,
aey kumsafar bus hamara sath itna tha

manzil teri alg thi rasta mera juda

jo dekha khwab tha mene wo chkna choor hona tha

kbhi jo yad ajoun to jana muskura dena

mjhe tou yaad main teri umr bhar ko rona tha
Nick Name..!!

Tum Mujh ko Gudya kahtay ho
Theek Hi Kahtay ho______!
Khelnay walay Sub Hatoon ko
Main Gudya hi Lagti hoon
Jo Pahna Do, Mujh par Sajay ga
Mera koi Rung nahi
Jis Bachay k Haath Thama do
Meri Kissi say Jung Nahi..!!
Meray Dil mein Hai kashmakash mujhe sochna mahaal Hai.




Tujhe ik haan se Guraiz Hai, meri zindagi ka sawal Hai.
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein,
Ke Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe Ek Raat Nawaz De ,
Magar Uske Baad Saher Na Ho

Woh Bara Raheem-o-Kareem Hai,
Mujhe Yeh Sifat Bhi Ata Karein
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon,
To Dua Mein Meri Asar Na Ho

Kabhi Din Ki Dhoop Mein Jhoom Ke,
Kabhi Shab Ke Phool Ko Choom Ke
Yun Hi Saath Saath Chalein sada,
Kabhi Khatam Apna Safar Na Ho

Mere Paas Mere Habeeb Aaah,
Zara Aur Dil Ke Qareeb AaAh,
Tujhe Dhadkano Mein Basalon Main,
Ke Bichhadne Ka Kabhie Dar Na Ho