Tum lautay ho aaj...

Tum lautay ho aaj...
Tum lautay ho aaj...

To kaii bay-naam aa''nsu...

Apni shanaakht bhool gaey hai''n...

Mujh say bichharr rahay hai''n...

K mujh may koi sakat nahee''n...

Ab rauknay ki in ko...

Pooray jisam ka shaur kuch thham sa gaya hay...

Karb may mubtelaa mairi her saa''ns...

Kuch sukoon ki aahai''n bhar rahi hay...

Janaa''n tum aaj lautay ho...

To pal may kitna kuch badal gaya hay...

Ab rooth k phir na jaana...

K ab aa''nsuo''n ko bhi manaana parrta hay...!
  

Jun, 05 2010     484 chars (4 sms)     2043 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Samajh jAta hoon Lakin dair sE Daoo Paich us k



wo Baazi jheet jata hAi
mEray Chalak hone tAk. . . . .
Agr woh pochein tou un se kehna un ka aashiq basta tha yahan

Dekhna un ko woh pepal ka peid aur kehna gaaney woh tanhai mein gungunata tha yahan.

Le jana un ko darwazey pe aur kehna intezaar woh kiya karta tha yahan.

Phir rakhna ungli dil pe aur kehna.. Shikayat karta tha ke dard hota hai yahan.
Hasti ko muhbat main fana kon karega
Yeh farz mare siwa ada kon kare ga
Hatho ki lakiro ko zara ghor se dakh aa najomi
Yeh dakh ke mare sath wafa kon kare ga
Mere hUm SukHan Ka yeH huKam Tha,
k KalaM Us sE MeIN Ki0n Kar0oN,
mErE hoNT AisE SiLaY PhIR,

MeRi CHuP nE uS k0 RuLa DyA...
Kis ehad ki batain karte ho
kab kon kisi ka hota hey
Kub kon kisi ki Chahat main
Yun Zehar ka Sagar peeta hey
Ye Hijr,Murawat Mehr-o-wafa,
Sub Rasmi Rasmi Batain hain,
Her Shakhs Khudi ki Masti main,
Bus Apni Khatir Jeeta Hai :)
Mere hi hathon pe likhi hai taqdeer meri,

,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

aur meri hi taqdeer par mera bus nahi chalta....!
jub kabhi toot kar bikhro to batana mujh ko,

"me tumhen rait k zarron se bhi chun sakta hoon"
~*~ Tum Hi Ho ~*~



Shab ki apni
parchai''yan hyn

Din k apny tevar hyn

Kch yaadai''n hyn ,

Kch baatai''n hyn

Apny apny
roz-o-shab k
sab qaidi hyn

Roz-o-shab k
Saarey
manzar-naamo''n main

Jo chehra sab se ujla hy

Wo "TERA" hy ...
Tum Bhala kiya Humain manzil ki Basharat Do GY





Tum To Rasta Bhi Nahi Dete ho Chalne k Liye
Mo'azaz ban ke mehfil main adaakari nahi karta
Main chehre pe kabhi jhooti aayinaa taari nahi karta

Mera dushman mere dastoor se waaqif nahi shayad
Jisse main dost keh doon us se ghaddari nahi karta

Yahan behtar hai apni zaat ka hamdard ho jana
Zamana ghum to de sakta hai ghumkhari nahi karta

Mujhy mo'Qa shanasi ka hunar ayaa nahi ab tak
Jahan matlab nikaLta ho samajhdari nahi karta.........!!!!!!!!!!!!!
Kuch zakham Sadiy0n Baad B Taaza Rehte haiN ''faraz''

waqt k Paas b hr marz ki dawa nhi hoti
Unke chehre pe is kadar noor hai
k unki yaad mein rona bhi manzoor hai
bewafa bhi nahin keh sakte unko
pyaar to humne kiya, wo to bekasoor hai-Hassan