Tujhe Roz Dekhoon Qareeb Se

Tujhe Roz Dekhoon Qareeb Se
Tujhe Roz Dekhoon Qareeb Se

Mere Shauq Bhi Hain Ajeeb Se

Tujhe Maanga Hai Tujh Hi Ko Bas

Apne Rab Aur Us k Habeeb Se

Meri Aankh Main Bhi Hai Aajzi

Mere Khwab Bhi Hain Ajeeb Se

Mere Sab Dukho''n Ki Dawa Ho Tum

Milay Kia Sukoon Phir Tabeeb Se

Main Bohat Khush Hoon Jor k

Naseeb Apna Tere Naseeb Se
  

Jun, 05 2010     322 chars (3 sms)     15468 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

kyun chhup k mohabat karte ho

sanG Chalne ka dum Bharte ho

jo shikwaY GilaY Hain keh Dalo

kion Baat khulne se Darte ho

use Bhool jao jo Guzar GaYa

kion khud se Itna Larte Ho

mujhe B khud main shaamil kar lo

kion Tanha Aag main jalte ho

B,fikar ho jao ye jaan lo Tum

Tum mere Dil main BastaY Ho.
Mujhko Khayal hai k..... tu mera Khayal hai...
Aik Markz-e-Khayal...... tera kia Khayal hai?

Aata hai tu Khayal me....... is qadar Khayal se...
Tujh ko mere Khayal ka....... kitna Khayal hai
mout per bhi yaqain aap par bhi etbaar hai.
dakhain pahle kon ata hai donon ka intzaar hai.
Rehne De Aasma Zamin Ki Talash Kar
Sab Kuch Yahi Hai Na Kahi Aur Talash Kar
Har Arzu Puri Ho To Jine Ka Kya Maza
Jine K Liye Bas 1 Kami Ki Talash Kar
Ye Be,wafa ZindaGi Bhi Tumhary Naam krty hAin''faraz''

suna hy Khoob Banti hy Bewafa Se Bewafa Ki
Jo Hum Mehsoos Kerte Hyn

Agar Tum Tak Pohanch Jaye

Tou bas Itna Samajh Lena

Ye Un Jazbo''n Ki Khusbuu Hy

Jinhai''n Hum Keh Nahi Sakte

Magar Tum Jo Ijazat Do

Tou Chand Lafzo''n Main Keh Doon

K Tu Bin Jee Nahi Sakte ...

K Tu Bin Jee Nahi Sakte ...
Apny MuQaddar Ka To Mil Hi Jaye Ga Ae Khuda,

Wo Cheez Ataa Kar Jo Kismat Mein Na Ho...
"Tujhe bholkar bhi na bhool payenge hum, Bas yehi ek wada nibha payenge hum, Mita denge khud ko bhi jahan se lekin, Tera naam dil se na mita payenge hum..
Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gain
Dil Lagayein Gain To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gain

Na Dikhayain Gain Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gain

Jaan De Daingain Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain Gain

Sab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhain Gain

Unki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gain Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gain

Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain
mera zamir mujhse kehta he,

kaya dekhta hay apne hathon ki lakeron ko

,Amir,

wo tera tab bhi na tha jab uska hath tere hath me tha.
hum kase dewane hai tere shaher k faraz.

k teri mubat mai hum nadnon k pache bahgte hai.
Tujah khabar nahi hum dekh kar bohat rooye





Nai kitab main tasveer ik purani teri