Mohabbat ub nahi hogi

Mohabbat ub nahi hogi
Mohabbat ub nahi hogi ye kuch din baad main hogi
Guzar jain gay jub ye din to inki yaad main hogi
  

Jun, 05 2010     99 chars (1 sms)     2124 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mizaaj-e-waqt ki kab tak haqaratein sehti,

ana shanas thi wo to kab ki mar gai
ho gi.
mojein tarap rhe hein osi gham mein aj bhi...

kis ko babo diya hai kinaro jawab do...
Pooch Lo Tum Bhi Is Zamane Say,
Piyaar Chupta Nahin Chupane Say.


Paas Aatey Ho Choote Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Say Kabhi Bahaaney Say.


Piyaar Dil Mein Hai To Lao Zubaan Pey,
Aag Badhti Hai Ye Bujhaaney Sey.


Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwaney Sey.


Chalo Ek Dua To Apni Poori Huiey,
Mil Liye Apne Ek Deewaaney Sey.


Roye Jatey Ho, Bas Roye Jatey Ho,
Kya Hoga Ye Dhan Lutaaney Sey.


Karo Koshish Ki Kurbatein Hi Rahein,
Dooriyan Badh Jaati Hain Badhaaney Sey.


Kya Sunaayein Kisi Ko Raaz-e-Dil,
Dard Bhi Badhta Hai Sunaaney Sey.


Bhool Jaao Kar Ke Achha Hai ,
Ehsaan Rehta Nahin Jataaney Sey.../
Aashna Hote Hue Bhi Aashna Koi Nahi
Jante Hain Sab Mujhe Pehchanta Koi Nahi
Mukhtaser lafzon Mein Ye Hain Mizaj-E-Dosti
Rabta Beshak Hai Sabse Wasta Koi Nahi
Maut mangte he to zindagi khfa hojati he
Zehr late he to wo b dwa ho jati he.
Tu hi bta ay mere dost kya karun.
jisko b chahte he to wo bewafa ho jate he
Be naam Musafir hon,
Be naam safar mera,
Kis Raah nikal jaon,
Kuch keh nahi sakta,

Be naam meri manzil,
Be naam Thikana hay,
Kis dar pe mein ruk jaon,
Ke kisi ki chahten tum ho,

Kabhi Ek pal ko socho to,
Tumhari Be-wafai ne,
Tumhari Laparwahi ne,
Tumhari be-neyazi ne,

Kisi ko Maar Dala ha,
Kuch waqat do homko,
Bana lein Dost is Ghum ko,
Hamein maloom hay aakhir,

Judai maar Dale gi.
kehnay ko uss se Ishq ki tafseer hay bohat

parh le to sirf aankh ki tehreer hay bohat
uski khushi ki khatir main ny kitnay ghum chupaey"MOHSIN".

agar main aik baar rota to uska shehr doob jata..
Kal Shaam Tere Ghar Qiyaam Kis Ka Tha
Na Tha Koi Musafir To Ehtmam Kis Ka Tha

Likh Likh Ke Choomti Rahi Jisko Raat Bhar
Hamein Bhi Batao Wo Naam Kis Ka Tha

Jis Ko Sun Kar Ro Pare Ehl-E-Mehfil
Itna Bheegta Hoa Anjaam Kis Ka Tha

Hamien Pee Ke Hosh Na Raha Saqi
Wo Hath Kis Ka Tha Wo Jaam Kis Ka Tha
Bari chaah hai Dil ko tujhy paanay ki".

Tujhy Apna k tera ho jaanay ki".

Teri zaat k Reshay Reshay main Bikhar jaanay ki".
Ab mujhe aayaa samajh gham hai mera unki khushi
Muskuraa kar ham tabhi phir Zakhm khane aa gaye

Laakh chaaha hamne rukh yaado se teri modana
Phir bite berah’m lamhe dil dukhaane aa gayee
Aye Dil kisi ki yaad mein rona Fazool ha,
Aansu Bare Anmol hein inhen khona Fazool ha,
Roo tu un k lia jo tujh par nisar han,
Un ke lia keya rona jin ke Ashiq Hazar hein....