waqt ki aanch main pather bhi pigel jaty hain
qeh qehhy loat ker ashkon main badel jaty hain
koun kerta hai yaad kisi ko umer bher
waqt kay sath insan bhi badel jaty hain
UskA Naam likh likh ker mitana bhool jata hoon
uSse jab yaad kerta hoon zamana bhool jata hoon
Bohat si aisi baaten hain jo mere dil main rehti hain
Magar jab usse milta hoon batana bhool jata hoon
Main yeh har shaam kehta hoon usse ab bhool jaoon ga
Magar jab subha hoti hai bhulana bhool jata hoon...
Ajab baat hai woh mujh say khafa bhi raha
Woh doston say mera haal poochta bhi raha
Ajeeb rang mein ki us nay guftagu mujh say
Labon pay chup thi nigahon say bolta bhi raha
chirag laikar mein dhundata hun wafa kahan hai wafa kahan hai,
Bata dey mujh ko jahan k Malik hai nirkh kitna dukan kahan hai,
mein aisey rehbar k payoon choomoon jo yeh bataye wafa kahan hai,
hai saari duniya hee chakar-e-banwar mein ya sirf mera hee imtihan hai?
Jab piyar karna seekh liya,
tou piyar nibhana bhi seekh liya,
jab aaye aapki yaad tou,
palkon ko jhukana bhi seekh liya,
is dar se key koi dekh na le ye aansoo,
har gham mein muskurana bhi seekh liya..