har lafz se us k main ne chahat ki hai
us k har vaade ki izzat ki hai
har khwab ko us k samjha hai apna
us k har ehsas ki ibadat ki hai
wo hanste hanste jo ansoo de deta hai
main ne to un ansuon se b mohabbat ki hai!!
~ Tun Bin ~
Ab Laut Aao Key Aik Bar Phir Mera Dil Apni dharkno Kay Beqaboo Honay Ka Khail Dekhna Chahta Hai Ab Laut Aao Kay Aik Bar Phir Meri Palkien Tumhari Nazroon Sey Ghabra Ker Jhukna Chahti Hain Ab Laut Aao Key Aik Bar Phir Meray Qadam Tumharey Qadmon Kay Saath Unhin Rastoon Per Chalna Chahtey Hain Ab Laut Aao Key Aik Bar Phir Mera Wajood Tumharey Ishq Ki Aag Main Jalna Chahta Hai Ab Laut Aao Key Aik Bar Phir Meri Zindagi Tumhari Zindagi Sey Jurr Ker Khud Ko Jeena Chahti Hai
Aisa Karna Key Chand Sey Kuch Mitti Lana
Us Main Sey Do Putley Banana
Ek Tumharey Jaisa
Ek Merey Jaisa
Un Potloon Ko Phir Tum Toor Deyna
Un Sey Phir Tum Do Putley Banana
Ek Tumharey Jaisa
Ek Merey Jaisa
Ta K
Kuch Kuch Tum Main Hum Reh Jayen
Kuch Kuch Hum Main Tum Reh Jana