Mila hai sab kuch

Mila hai sab kuch
Mila hai sab kuch fariyaad kya karein,
Dil hai pareshaan to jazbaat kya karein,
Woh kehte hai ki hum unhe yaad nahi karte,
Bhule hi nahi jise ab usse yaad kya karein.
  

Jun, 07 2010     170 chars (2 sms)     3512 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Hum to wo log han jo
Na kisi k dast-e-shumar mein han
Na kisi ki nigah k hisar mein han
Yun jeise sadiun ka ho be-ant safar
Sehra sehra phirta koi khak basar
Kya puchte ho kon han hum
Ham to jugnu bi nahi han
K ksi ki ankh mein chamakte
Ham to ansu ki tarhan han
Ankh se tapke or dub gaey
Mohabbat ki aass mein
Garh se nikle or besimt musafat mein
Darbadar phirte huey
Ksi benam shaam ki nazar huwe..
wo roye to bht pr mjse moo mor kr roye,

koi majburi hogi jo dil tor kr roye,

mere samne kr diye meri tasvir k tukre,

pta laga mre piche wo unhe jor kr roye!.
Main dukhon k jahan mian rehta hon..tu muje kyun udaas kerne chala ata hai.!
Dil Ki Baatein Bata Deti Hain, Aankhein
Dharkano Ko Jaga Deti Hain, Aankhein

Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Chehraun Ka Kabhi
Dil Ko To Deewana Bana Deti Hain, Aankhein

Woh Hum Se Baat Nahi Karte, To Na Karein
Haal Sara Unke Dil Ka Suna Deti Hain, Aankhein

Gham Sada Rehta Nahi, Aadmi Ke Saath
Ashk Bana Kar Chalka Deti Hain, Aankhein

Aata Hai Jab Dor-E-Jawani, To Ae-Dosto
Sunder Sapne Zehan Mein Basa Deti Hain, Aankhein

Mana Ke Neend Aati Hai, Aankhon Hi Ke Raaste
Magar Kabhi Kabaar Neend Bhi Uraa Deti Hain, Aankhein

Shukar Hai Rab Ne Ata Ki, Aankhon Ki Neamat
Humaare Dard-O-Gham Saare Dil Ke, Chupa Deti Hain Aankhein
Hai Ta''aluq Tou Ek Saada Lafz

Phir Jo Bhi Hai Wo Nibaah Main Hy

Kab Se Maine Palak Nahi Jhapki

Koi Meri Nigaah Main Hai
Uqba main bhi milay gi yehi zindagi *Shakeel*.
Marr kar bhi chuth na paayen gai is dard-e-sarr say hum...
Maine Socha Tha Inkaar Kar Dun,
Magar Ikraar Hota Chala Gaya,
Likha Tha Baad Mein Dhoka Khana,
Isliye Mujhe Pyar Hota Chala Gaya
Tery
any
se
phly
he

Dil
k
ander
tak

Utar
jata
hai

Tery
wapis
jany
ka
guhm
Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya,
Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya,

Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main,
Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya,

Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se,
usko gham tha itna ziyadah, khud wo roona bhool gaya
aisay he nahi roz falak daikhta tujh ko
chehra hai tera chand, sitaray teri ankhain
Teri khushboo har saans me sama lenge,

Ashk jo nikle tumhare apne hothon se pee lenge,

Hame dhadkan ki kya zaroorat hai,

Tere dil me pyar bankar har lamha dhadak lenge...........;->
Aaj us ne Meri Mohabbat main Kisi ko Shareek kia to Ehsas hoa
...........Ya Rab.............
K tu Shirk krnay walon ko Muaaf ku nahi krta