Agar yeh jan-na

Agar yeh jan-na
chaho koi kaisay bikharta hai
Chaman main ja kay khizaan main
Kabhii patton ko dekho tum
Ya phir ik aainaa lay lo
Ussay patthar pay giraa do
Agar mushkil hai tum ko
To kissi khoobsurat phool ko le lena
Ussay hawa kay dosh pay rakhna
To phir tum jaan jao ge
Koi kaisay bikharta hai
Agar yeh bhi na kar sako
To mairay paas aajaana
Mera deedar kar lena
Khabarr yeh ho hee jayay gee
Koi kaisay bikhartaa hai..........
  

Jun, 07 2010     429 chars (3 sms)     2190 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

us ka milna hi moqaddar mein nahi tha werna
hum ne kia kia nahi khoya usay panay k liye
Koi Dhoond Aisa
Humsafar

Jo Tujhy Mujh Se Barh
k Chah Saky

Tu Kahe Tou Raat Ho

Aur Wo Chanadni Luta
Saky

Tere Aansuo''n Ko Yun
Samait Le

K Koi Na Tujh Ko Rula Saky
"Meri khamoshi thi jo seh gayi,
uski yaadein hi ab is dil mein reh gayi,
thi shayad uski bhi koi majboori,
jo aaj meri kahani phir adhoori reh gayi"
gul''on ko bhi nahi aaya abhi tak is tarah khilna,

sawery jis tarah wo neend sy be''daar hota hai...
ek lafaz mohabbat ka adna yeh fasana hay
Simtay toh dil e aashiq phaylay toh zamana hay
jo ruke to koh-e-giran the hum''jo chale to jan se guzar gaye
rah yaar hum naye kadam kadam tujhe yadgar bana deya
kaisay chop chaap he mar jatay hain kuch log yahan ..
jisam kee thandi see
tareek saiyhaa qaber kai under
na kissi saans kee awaaz , na siskee koi ..
na koi aahh , na jombish na he aahat koi ..
aaisay chop chaap he mar jatay hain kuch log yahan
kai
unko dafnanay kee zaihmat bhe othana nahe pertee
Umar Se Insan Badal Jate He

Waqt Se Tufan Badal Jate He

Sochte Hai Aapko Itna Yaad Na Kare

Lekin
Aankh Band Karte Hi
Armaan Badal Jate He
Chora Hai Mere Yaar Ne Mujhe Bhi
Is Ka Matlab Yeh Nahi Ke Hasna Chor Doon
Loota Hai Duniya Ne Mujhe Bhi
Is Ka Matlab Yeh Nahi Ke Jeena Chor Doon
Thukraya Hai Apnon Ne Mujhe Bhi
Is Ka Matlab Ye Nahi Ke Chahna Chor Doon
Kash Hum Bezubaan Hote
Naa Fir Gham Yun Bayaan Hote
Kash Naa Hoti Zindagi Ki Samajh
Naa Fir Yun Afsaane Jawaan Hote
Kash Naa Khwahish Hoti Kuch Paane Ki
Naa Fir Kuch Khone K Gham Yahan Hote
Gar Tod Jaata Koi Ashiyaan Humara
Fir Bhi Khoobsurat Saare Samaan Hote
Lut Jaati Gar Roshni-E-Zindagi
Fir Bhi Andhere Naa Yahan Hote
Toot-Te Hue Bhi Be-Shubhaah Hote
Kash Hum Bezubaan Hote !!
Khobsurat Hai Ankhain Tere Raat Ko Jaagna Chorday..

Khub Ba Khud Neend Aa Jai Gi Tu, Mujhay Soochna Choorday..!
JIS NAZAR SE DEKHTE RAHE IS DUNIYA KO HUM,
UN AANKHON MEIN HAMARI KOI PEHCHAAN BHI NAA THI