"Na wajood apna, na rooh apni Bas ik tamasha yeh zeest thehri Na dil lagi main sakoon paya Na aashqi main qarar paya Na wasl lamhay hi raas aaye Na firaaq hi ghum guzaar paaye Ajab yeh chahat k marhalay hain Na jeet paaye na haar paaye Na hi yaadon ki dhund utri Na dil k daaman ko jhaar paaye Na aankhain khawabon ko dhoond paaien, Na khawab aankhon ko dhoond paay'"
AB Ke Kerna To Aesi Chahat Kerna
Jisko Aata Hee Na Ho Sikwa Shikayat Kerna
Pehly Khusbu Ke Mizaj Ko Parak Lo
Phir Gulistan Mein Kisi Gul Se Mohabbat Kerna
Din Akele Raat Tanha Kat Di Mein Ne
Doston Mein Sari Khushiyan Bant Di Mein
Jeevan Ki Bhag Dor Mein Mujhe Mila Hee Kia
Pane Ki Umeed Mein Zindagi Kat Di Mein Ne