husan-e-shama likhoon ya sarab likhoon,

husan-e-shama likhoon ya sarab likhoon,
husan-e-shama likhoon ya sarab likhoon,

hum dum likhoon,sathi likhoon ya khuwab likhoon,

tere sarapa-e-husn se heran hoon main,

mehjabeen likhon,sehe rukhi likhoon,
bewafa likhoon ya hijaab likhoon,

khatam ho jata hai zakhira-e-alfaz..

dil to kehta hai teri tareef be hisab likhoon.
  

May, 27 2010     299 chars (2 sms)     3126 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ek ehsaas hay yeh rooh se mehsoos karo
pyar ko pyar he rehnay do koi naam na do
Pehlay Trasha Us Ne Kanch Se Mera Wajood....

Phir Shehar Bhar K Haath Mein Pathar Thama Diye . . .
Chahat Wo Nahi Jo Jaan Deti Hai
Chahat Wo Nahi Jo Muskaan Deti Hai

Ae Dost Chahat Wo Hai
Jo Pani Mein Gira Aansoo Pehchan Leti Hein
Usay mere marny
ki khabar na dena
<==MOHSIN==>

k agar wo ro para
to ye dil
phir se Dhark uthay ga.
Mohabat ki Hakeeke sy hm khoob Wakif Thay



Yonhi Zara Sa Shook hova Tha DIL Barbaad karny ka
Jisko Mangy Ga Tujhko Wo Mil Jaye Ga
Bas Sirf Tujhse Tera Yeh Dil Jaye Ga
Dil Bhi Nadaan Hai Kyun Pereshan Hai
Usko Dekhe Ga To Khud Hee Khil Jaye Ga
Ishq-O-Masty Ko Tu Itna AAsan na Samjh
Aaye Ga Tujh Pe Jab Tu bhi Hil Jaye ga
Bewafai Ka Koi B Merham Nahi
Rafta Rafta Zakham Khud Hee SIl Jaye Ga
Jab Chale Ga Tu Kanto Pe To Phir
Jism Tera Kharashon se Chil Jaye Ga
kisi ko batana hai mai ne yehi
meray sang sara zamana sahi
tmhari alag hai jagah jan-e-jaa''n
her aahat pe hota hai tera gumaa''n
dua k liye haath jab bhi uthay
zuba''n sab se pehlay tera naam le
khushi ho adhuri to ghum ho siva
lagay dil nah mera tmharay bina
Ta''aluq Torta Hoon Tou
Mukamal Tor Deta Hoon

Jissey Main Chorh Deta Hon
Mukammal Chorh Deta Hoon

Mohabbat Ho K Nafrat Ho
Bhara Rehta Hoon Shiddat Se

Jidhar Se Aaye Ye Darya
Udhar Hii Mor Deta Hoon

Yaqeen Rkhta Nahi Ho Main
Kisi Kachey Ta''aluq Per

Jo Dhaag Tootne Wala Ho
Usey Khud Tor Deta Hoon
sub se yun milna k jesay dil main koi dukh na ho,
mujh main ye khoobi hai sub khaamyon k bawajood
Sara Sher Dil Ka Ghum Gheen Hai
Teri Wo Baatey Thrpati Hain
Teri Wo Yaadey Rulati Hain
Mar Kar Bhi Tumey Na Bhool Payenge
Yeh Kiye Howey Waadey InshALLAH Hum Nibahtey Rahey Ge
Yeh Kasam Hai
Teri Meri Dosti Ki
Kisi Din Aana Azmana
Hum Teri Rahey Dekhtey Hongey
Door reh kr pas rehny ki adat hy.

Yad ban kr ankho sybehny ki adat hy.

Kareeb na hoty huey b kareeb pao gy

.Mujy ehsas ban krrehny ki adat hy.
Main Usay Dill Say Piyar Karti Hoon Rang Jis Ka Hina Say Milta Hai.
Rangat Main Dilfarareb Hum Bhi Nahin LAKIN Saanwali Si Is Jori Say Zamana Jalta Hai.