Agar wo pyar kar leti,

Agar wo pyar kar leti,
Agar wo pyar kar leti,
Mera daman pakar leti,
To Jeevan mein faqat us se
Muhabbat farz ho jati..
Muhabbat qarz ho jati..
MagarAcha kiya usne,
Mujhe samjha k chal nikli,
Mujhe thukra k chal nikli,
Bht nadan C hai wo...
Abhi anjan C hai wo,
Kahan maloom hai usko,
Muhabbat zindagi mein bas
faqat ik bar milti hai...!!!
  

May, 27 2010     328 chars (3 sms)     2172 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi
Dil Main Raha Woh Choor Kay Janay Kay Baad Bhi
Pehlu Main Reh Kay Dil Nay Dia Hai Bohat Faraib
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulanay Kay Baad Bhi
dosti yakin pe tiki hoti hai,
ye diwar badi mushkil se khadi hoti hai,
kabhi fursat mile to padhna kitab risto ki,
dosti khoon ke risto se badi hoti hai
Guzar jain ge un k wo pal achey,

jinay hum intizar aur wo waqt kehty hain,

kia pata kon bhool jaye ye muhabbat,

jisay hum zindagi aur wo 1 lafz kehte hain
Jo Manzar Ek Bar Guzar Jate Hain Nigah Se
Phir Dhoondti Aankhoon Mein Wo Manzar Nahi Aate
Khuch Log Kisi Baat Per Ate Nahi Hain Yaad
Khuch Log Kisi Tor Bhulaye Nahi Jate
kaat kar zuban meri keh raha tha woh FARAZ.........

ab tumhe ijazat hai haal-e-dil sunanay ki
Milain Aik Bar To Sada Yaad Rahain
Zamany Main Aisy Bhe Kuch Log Hain Abhi
Hum se dilchasp kabhi sache nahin hote hein..
Ache lagte hein magar ache nahin hote hein..
Chand mein burhiya,buzurgon mein khuda ko dekhein..
Bhole ab itne to ye bache nahin hote hein..
Koi yaad aaye humein koi humein yaad kare..
Aur sab hota hai ye qisse nahin hote hein..
Koi manzil ho bohot duur hi hoti hai magar..,
Raaste wapsi k lambe nahin hote hein..
Aaj taarikh to dohrati hai khud ko lekin..
Is mein behter jo the wo hisse nahin hote hein..!!
mehsoos ker raha hon main jeene ki talkhyaan.
shayad mujhe kisi se mhubat nahi rahi....!
chor dain sari dunia kisi kay liyay
yay munasib nahi admi kay liyay

pyar say bhe zaroori kiii kaam hain
pyar sub kuch nahi zindage kay liyay
Wo baat Kyun Karun JisKi Khabar hi na ho,

Woh Dua Kyun Karun Jiska Asar hi na ho,

Kaise Keh du Tujhe Lag Jaye Meri Umar,

Kya pata Agle Pal Meri Umaar hi Na ho.
Mujay Kuch Tumsay Kehna Hai

Magar Tahro
Yeh Ik Lamha Jo Azal Say Hay
Kaye Sadioon Ki Bay Chani Simat Aye Hay
Iis Ki Dobthi , Sahmi Si Sansoon Main
Hazaroon Ratjagoon Ka Dard Hay
Is Kay Tasalsul Main
Yeh Ik Lamha
Yeh Meri Baykran Chahat Ki Gerdash Ka Hasee Lamha
Yeh Ik Lamha Guzer Jaye
Tu Shaed Ishaq Ki Manzil Nazer Aye
Meri Yeh Bay Nishan Chahat
Abad Ki Bay Kran Woset Ko Cho Aye
Yeh Ik Lamha
Jo Sang-E- Rah Hay Sadioon Ki Bay Payan Musafat Ka
Nishan Hay Un Ginat Rohoon Ki Un Daki Mohabbat Ka
Gubar-E- Wad-E- Seena Say
Wo Sab Karwan-E- Shoq
Jo Latay Hain Giran Maya Karamat, Hay
Yeh Lamha
Yeh Lamha Jo Azal Say Hay
Bherkaain Meri Pyaas Ko Aksar Teri Aankhain
Sehraa Meraa Chehraa Hay Samundar Teri Aankhain
Phir Kon Bhalaa Daad-E-Tabassum Inhain De Gaa
Royengi Bohat Mujhse Bicher Ker Teri Aankhain