Kal jo hume hassen

Kal jo hume hassen
Kal jo hume hassen or sub se payra lagta.

aaj wo hi qatil-e-jaan sub se bura laga.
  

May, 27 2010     86 chars (1 sms)     2423 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Sulaah ke zamany mein..

Mujh ko aysa lagta hai..

Wo agar bechar jaye..

Tu sirf itna dukh ho ga..

Jitna aankh khulney par..

Khawab toot janey ka..

Par ajab tamasha hai..

Wo agar kabhi mujh say..

Yoon hi ruth jati hai..

To kainaat ki har shey..

Toot phoot jati hai..!
Pyar me mila har gum uphar hota hai,
pyar wo hota hai jisme intjar hota hai.
Sadiyon tak intjar karte hai wo
jinhe apne pyar pe aitbar hota hai.
Zindagi Yun Teri Chahat k Naam Kerdi
Jese Ghaney Darakht k Neeche Shaam Kerdi
Laut Jate Hyn Parinde Bhi Shaam Hote Hi
Hum Ne Tou Har Shaam Hi Tere Naam Kerdi
main tu jala na saka en tohfon ko tumhe bahj raha hun..

tum jala sakte ho en ko kayonk tum tu pathar dil ho..
Wo School K Din

Kuch Baatai’n Bhuuli Hui
Kuch Pal Beetey Huey

Har Ghalti Ka Ek Naya Bahana
Aur Phir Sab Ki Nazar Main Aana


Exam Ki Puuri Raat Jaagna
Phir Bhi Sawal Dekh Ker Sar Khujana

Mauqa Miley Tou Class Bunk Maarna
Phir Dosto’n K Saath Mazey Maarna

Us Ki Ek Jhalak Dekhne Roz School Jana
Us Ko Dekhte Dekhte Attendance Bhuul Jana

Har Pal Hai Naya Sapna
Aaj Jo Tuutey Phir Bhi Hy Apna

Ye School K Din
In Lamho’n Main Zindagi Jee Bhar K Jeena

Yaad Ker K In Palo’n Ko
Phir Zindagi Bhar Muskurana
RotAy hAin mje dAikh kr Tanha wo Rasty

jin Par Tere Bgair mAin Guzra na Tha kbi
kar kar k MinTain uski



Adat Bigaar di


DanistA hum ne us ko


sitamGar Bana Dia.
Hasrat Se Tak Raha Tha Khiloney Khara Hua

Bacha Ghareeb Ka Wo Dukaan K Saamne ...
ye acha hai k bohat acha nahi houn mein,

dukhee ho ga na koi mere chaly jany k baad...
Yeh Aankhen Bohat Satati Hain
Yaadon Ke Khuwaab Dikhati Hain
Mujhe Saari Raat Jagati Hain
Kab Dil Ke Raaz Chhupati Hain
Palkon Ke Dareeche Kholti Hain
Kuch Apni Zaban Main Bolti Hain
Bas Apni Baat Manwati Hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
Ek Aan Main Faisla Karti Hain
Yeh Kab Ruswayi Se Darrti Hain
Yeh Ghungroo Baandh Nachati Hain
Her Waqt Yeh Jaagti Rehti Hain
Ek Khoj Main Bhaagti Rehti Hain
Thak Haar Ke Wapis Aati Hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
Chupke Se Kahin Lad Jaati Hai
Phir Khuwabon Se Bhar Jaati Hai
Jab Toote Shor Machati Hai
Yeh Royen To Dil Bhi Rota Hai
Kab In Se Judda Yeh Hota Hai
Yeh Dil Ko Rog Lagati Hai
Kyu Pyaar Kiya Pachtati Hai
Yeh Aankhen Bohat Satati Hain
Merey Humsafar Ka Yeh Hukum Tha
Keh Kalaam Us Se Main Kam Karon

Merey Hoont Aisey Siley kEh Phir ..
Meri Chup Ne Uss Ko Rulaa Diyaa !!
Mujhe Tasleem hai tum ne Muhabbat mujh se ki ho gi,
Zamane ne magar Izhar ki Mohlat na di ho gi,
Mein apne aap ko sulgha raha hon isi tawaqu par,
Kabhi to AAG bharke gi
Kabhi to ROSHNI ho gi.....!