In Sochti Ankhon Mein
Na Janay Kia Baat Hay
Eik Lamhay Ko Jo Mein
In Mein Dekh Loon
To Dobnay Lagta Hon
In Naraz Rawion Mein
Na Janay Kia Baat Hay
Eik Saniay Ko Jo Mein
In Per Ghor Karon
Tu Bhataknay Lagta Hon
In Kuch Kehtee Adaoon Mein
Na Janay Kia Baat Hay
Eik Pal Ko Jo Mein
In Mein Khoo Jaon
Tu Bhaknay Lagta Hon
gham-e-zindagi sai farar kya
ye sukoon kya ye qarar kya
gham-e-zindagi bhi hai zindagi
jo nahin chen tu nahin sahi
sar-e-toor ho sar-e-hasher ho
hamain intezaar qubool hai
wo kabhi milain wo kahin milain
wo kabhi sahi wo kahin sahi........