Katthin Hai Zindagi Kitni

Katthin Hai Zindagi Kitni
Katthin Hai Zindagi Kitni

Safar Dushwaar Kitna Hai

Kabhi Paaon Nahi Chaltey

Kabhi Rasta Nahi Milta

Humara Saath Dey Paaye

Koi Aisa Nahi Milta

Faqat Aise Guzaroon To

Ye Roz-o-Shab Nahi Kat''tey

Ye Kat''tey Thay Kabhi Pehley

Magar Haan Abb Nahi Kat''tey

Mujhey Phir Bhi Mere Maalik

Koi Shikwa Nahi Tujh Sy

Main Har Dukh Jhail Sakta Hoon

Main Jaan Par Khel Sakta Hoon

Agar Tu Aaj Hi Ker De

Mohabbat Hum-safar Meri....!
  

Jun, 02 2010     461 chars (3 sms)     2476 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kya Kahe ki Kuch Kaha Nahi jaata,
Dard-Meetha hai par Saha Nahi jaata,
Dosti Ho gayi hai is Kadar aapse ki,
Bina yaad kiye Raha Nahi jata?
Wo Kaisa Shaks Hai
K Har Roz Saza Deta Hai

Phir Wo Hansta Bhi Hai Itna
K Zakhm Bhula Deta Hai

Kabhi Jo Ro De Tou Wo
Mujh KO BHi Rula Deta Ho

Us Se Poocho''n K Bata
Kis Se Mohabbat Hai Tujhe

Naam Sargoshi Main
Mera Hi Bata Deta Hai

Khud Hi Kehta Hai
Na Dohrao''n Puraani Yaadai''n

Main Na Dohrao''n Tou
Phir Khud Hi Suna Deta Hai .
Yeh Hum Bhi Gawara Kartay Hain,
Yeh Tum Bhi Gawara kar laina.
Ro Ro K Guzari Hai Hum Nain,
Tum Hans k Guzara Kar Laina.
Betabi Hadh Sa Barh Jaye Aur Neend na Aaye Ratoon Ko,
Tou Doub K Meri Yadoon Main Duniya Sa Kinara Kar Laina.
Jis Waqt Janaza Guzray Ga Iss Shakhs Ka Teray Kochay Sa,
Jazbaat Pe Qabo Kar Laina Khirki Sa Nazara Kar Laina.
Mohabbat Kia Hai Taseer-e-Mohabbat Kis Ko Kehte Hain

Tera Majboor Ker Dena , Mera Majboor Ho Jana . . .
Ishq fanaa ka naam hain ishq mein zindagi na dekh
Jalwa-e-aftaab ban zarre mein roshni na dekh

Shauk ko rehnuma bana jo ho chuka kabhi na dekh
Aag dabi huii nikaal, aag bujhi huii na dekh

Tujko khuda ka wastaa tu meri zindagi na dekh
Jiski sahar bhi shaam ho, uski dard bhari raat na dekh.
Dilon Se Khelne Ka Hunar Hamein Nahi Aata,

Isliye Ishq Ki Baazi Hum Haar Gaye,

(M)er(i) Zindagi Se Shayad Unhe Bohot Pyar Tha,

Isi Liye Mujhe Zinda Hi Maar Gaye.
yeh bhi ma'' loom hay na aao gaey
muddaton se par intizaar wohi

meri wehshat ka rang bhi wesa
aur khaali tera diyaar wohi

Phir Wafai''n Bhi Kro
Gy Tou Koi Na Pooche
Ga ''Faraz'' !!

Ye Tere Saare Sitam
Faqt Mere Marr Jaaney
Tak Hyn !!
Waqt ko bass tumhare saath bitana acha lagta hai,

Tumhi se baat karna muskurana acha lagta hai,

Tumhare aansu b pyaare tumhari muskurahat b,

Tumhi se roothna tum ko manana acha lagta hai,

Tumhari khushyaan mujhe Ae dost hein apni jaan se pyaari,

Tumhare waste har gham uthana acha lagta ha
Kuch zakham Sadiy0n Baad B Taaza Rehte haiN ''faraz''

waqt k Paas b hr marz ki dawa nhi hoti
sambhal sakty nahi hum ye gham ki jageerain..

WASI

Utar lejiye sar se ye taaj kanton ka...
Jin Ki Dehleez Se wabasta Ho zindagi !!
Kaise Mumkin Hai Un Se juda Hona !!
Wo Lakh Murawat Se kaam Lain Phir Bhi !!
Ye Dil Nahi Manta Un Se Khafa Hona !