Aankh sey door na

Aankh sey door na
Aankh sey door na ho dil sey utar jaye ga
Waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaye ga

Itna manoos na ho hilwat-e-ghum sey apni
Tu kabhi khud ko bhi dheikhey ga tu dar jaye ga

Tum sar-e-rah-e-wafa dheikhtye reh jao gey
Or wo baagh-e-rafaqat sey uttar jaye ga

Zindgi teri atta hai tu ye jaaney wala
Teri bukhshish ko teri dehleez per rakh jaye ga

Aankh sey door na ho dil sey utar jaye ga
  

Jun, 02 2010     401 chars (3 sms)     2544 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kabi thak k so gaye hum,
Kabi raat bhar na soye,
Kabi hans k ghum chupaya,
Kabi munh chupa k roye,
Meri Dastan-e-Hasrat wo suna suna k roye,
Mere Azmany waley mjhey Aazma k roye,
Shab-e-gham ki aap beeti jo sunayi Anjuman main,
Kai sun k Muskraye,
Kai Muskura k roye,
Main hun Be-Watan Musafir,
Mera naam Be-Kasi hai,
Mera koi bhi nahi hai jo Galey laga k roye,
Mere paas se Guzar ker mera Haal tak na pucha,
Main ye kese maan jaun k wo door ja k roye?
Kabhi apne dil se bhi baat kiya karo
kabhi dil ki dhadkanon ko mehsuus kiya karo
rehte hai hum aap ke jism me dil bankar
kabhi apne dil par bhi hath rakh liya karo
Dooriyan buhat hain par itna samajh lo

Pass reh kar bhe koi rishta khaas nahin hota

Tum dil ke pass itnay ho ke

Doorion ka ahsaas nahin hota
Uski yaadon ka silsila hoga
is kahani main or kya hoga
jab bichar kar bhi wo khamosh raha
Ghar jaa kar tu ro diya hoga
khud ko samjha diya hay main magar
kya wo khud bhi badal gaya hoga
itna aasaan na tha mujhay khona
usne khud ko ganwa dia hoga
mujh ko veeran kar diya jis ne
khud tu aabaad kahin huwa hoga
sochta hoon jo mujhko chahta tha
yaad mujh ko kar raha hoga
Khush ho ay dil mohbbt to nibha di to ne,
log ujar jatay ha anjaam se pehlay pehlay
ab teray zikar pe hum baat badal daite ha
kitne raghbat thi teray naam se pehly pehly
samne umar pari ha shab-e-tanhai ki,
wo mujhay chor gaya sham se pehly pehly.../
Kya kya Tere Naam likhon. . .?

"DIL" likhoon k "JAAN" likhoon?

Aansu chura k Teri Pyari Aankhon se. . . !


Apni har Khushi Tere Naam Likhoon
Mohabbaton Main Shumar Kaisa?

Yaqeen Kaisa?

Guman Kaisa?

Urooj Kaisa?

Zawal Kaisa?

Sawal Kaisa?

Jawab Kaisa?

Mohabbatain To Mohabbatain Hain,
Mohabbaton Main Hisab Kaisa?
Tum Raah Main Esay Kharay To Ho Gaey Ho,


Kis Kis Ko Btao Gay K Ghar Kuo Nahi Jatey
Swab samjh k wo dil k tokry karta ha mohsin
gunah samj k hum un say gela nahe karty
Qiyamat khez hain aankhen tumhari!!
Tum aakhir khawab kis k dekhte ho...
gham-e-zindagi sai farar kya
ye sukoon kya ye qarar kya
gham-e-zindagi bhi hai zindagi
jo nahin chen tu nahin sahi
sar-e-toor ho sar-e-hasher ho
hamain intezaar qubool hai
wo kabhi milain wo kahin milain
wo kabhi sahi wo kahin sahi........
Dil ki nazuk dhadkano ko
Mere sanam tumne dhadkana sikha diya

Jab se mila hai tera pyaar dil ko
Gham ne bhi muskurana sikha diya.