Kabhi khud hi mere pass aa
Meri baat sun mera saath de
Jo khlish hai dil se nikal kar
Muje uljhanon se nijat de
Tujhe sochna mera mashgala
Tujhe dekhna meri arzoo
Muje din de apne khayal ka
Mujhe qurb ki koi raat de
Meri zindagi mere saath chal
Mere hath mai apna haath de
Muje gham khushi se kabool hain
Tu jo agar mera saath de
koi dukh na ho
koi gham na ho
koi ankh kabi num na ho
koi dil kisi ka toray na
koi sath kesi ka choray na
bus pyar ke nadiya bahti ho
kash k dunya asi ho!!!
December
Guzarta hua saal jaisey bhi guzraa
Magar saal kay aakhri din nihaayat kathhin hain
Suno...!!!
Naye saal ki muskuraati hui subha
Yeh bujhhta hua dil dharakta to hai
Muskuraata nahi
December mujhey raas aata nahi..!!