Main Ikswin sadi main jana chaun ya na jana chahun,is say kya farq parta hai?waqt ka seel rawan,chahton ko bahata howa,sapnon ko dabota howa,ankhon ko bhigota howa,in masafton tak lay hi jaega jinhain abhi daikha nhi,main chalun ya na chalun,main rukun ya na rukun,main rahun ya na rahun,mere hone ya na hone say kya farq parta hai?waqt ka karwan to rukta hi nhi.ye chalta hai aur chalta hi rehta hai...dam tori biswin sadi bohat saray dukhon ko meri sanson ki mala main paro ker guzarti chali gai aur main mahi bay aab ki tarhan,dard k kinaray par khara,kisi maseeha ka muntazir tha.
Tere firaaq ke lamhay shumaar kertay huay
Bikher gaye hain tera intazar kertay huay
Wo keh rahi thi samunder nahin hain aankhain hain
Main un main doob gaya aitabaar kertay huay
''",.''.UDAAS RAAT''",."''
Badan Thakan se Choor hai,
Par Neend Hum se Door hai,
Tera Kheyal sath hai,
Bari Udaas Raat hai,
Hawa-e-Gham ka zoor hai,
Samandron ka Shor hai,
Judaiyon ki baat hai,
Bari Udas Raat hai,
Har Nazar Sharab hai,
Tere Milne ka Khuab hai,
Dard Uthtay hain magar Aah nahi karty,
Kon kahta hai Hum Wafa nahi karty,
Aakhir kyun nahi Badalti Taqdeer Hamari,
Kya Aap bhi Hamary Haq me Dua nahi krte.