Mila hai sab kuch

Mila hai sab kuch
Mila hai sab kuch fariyaad kya karein,
Dil hai pareshaan to jazbaat kya karein,
Woh kehte hai ki hum unhe yaad nahi karte,
Bhule hi nahi jise ab usse yaad kya karein.
  

Jun, 07 2010     170 chars (2 sms)     4002 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Bhigte rahte hai Baarish me Aksar,

Kabhi mangi kisi se Panaah nahi.

Hasrate puri na ho toh na sahi,

Khwab dekhna koi gunah to nahi.
Main Apni Raato''n Ki
Fursato''n Main
Tujhy Manao''n
Tou Maan Jana

Agar Kisi Din Main Apne
Aanshu Jo Le Ker Aao''n

Tou Maan Jana

Ye Ek Dil Jo Tumhai''n Dia Tha
Is ko bhi Tum ne Tor Dala

Shikista Dil Ki Jo
Khirchio''n Ko Samait Lao''n

Tou Maan Jana

Tu Khush Nahi Hai
Meri Baqa Par Tou
Sirf Itna Bata

Teri Khushi K Liye
Jo Suuli Pe Muskurao''n

Tou Maan Jana

Tu Badguman Hai Meri
Wafa Par Tou Sirf

Ek Baar Azma Le

Jo Haar Jao''n T
ou Laut Jana
Jo Jeet Jao''n
Tou Maan Jana ...
Kabhi Kisi Se Zikar-E-Judai Mat Kerna
Iss Dil Ki Kabhi Ruswai Mat Kerna
Jab Dil Uth Jaye Hum Se To bata Dena
Na Bata ker Bewafai Mat Kerna
ek pakiza muhabbat k talabgaar they hum
azma kr dekhty buhat wafadar they hum

humney b daman ma kushioon ko samaitna chaha
shayd isi khuwahish k gunahgar they hum
Woh Aankh Chupke Say Yon DIL K Bied Keh Jaye
K Jaise Baat Koi Yaad Aa k Reh Jaye
Na Woh Haseen Na Mein KHub Ro Magar Ik Saata
Hamein Jo Dhek Le WOh Dhekta hi Reh Jaye
Mana K Bura Hon
Magr Itna B Nahi

Kuch Nazron Se Gira Hon
Magr Itna B Nahi

Koi Koshish To Kare Mujhe Samaitne Ki

Main Toot K Bhikra Hoon
Magr Itna B Nahi
kabhi lafz bhool jaon,
kabhi baat bhool jaon
tujhey is qadar chahon
apni zaat bhool jaon
uth ker kabhi,jo terey pass chal dun
toh jate huwe khud ko
terey pass bhool jaon.../
hum tu rasty mein hi"fana"howe".

"manzil ka "AQSS" humri jan ly betha".
Us ko to Bicharne ka Saleeka bhi nahi aya

Jate howe Khod ko yaheen Chor gia..!!
Faasle Bahut Hain,Par Itna Maan Lijiye,Karib Rahkar Bhi Har Koi Khaas Nahin Hota,Aap Khayalon Me Itne Karib Hain Ki Faaslon Ka Ehsaas Hi Nahin Hota
Humari Awaz Unhe Sunai Nahi Deti Hai

Ab To Door Tak Koi Umeed bi Dikhai Nahi Deti Ha

Ehsas Unhe Or Sab Dosto Ka Hai

Bass Hamari Tanhai Unhe DIkhai Nahi Deti Ha
Zindagi bhar zindagi ki saza milti rahi,
Lamha lamha wafaaon ki jaza milti rahi.
Cherh kar jata raha har baar zakhmon ko mere,
Gham ke sholon ko yun hi hawaa milti rahi.
Meri nazron ne hai bakhsha husn ko farogh,
Uske har aaza ko ik adaa milti rahi.
Faasla badta gaya jitna gaya uske qareeb,
Khushk patton ko jaise hawaa milti rahi.
Paththron ki gird takrata raha ''Rahat'' ka wajood,
Sukhan goi ka sadaa nayee sadaa milti rahi.