Yun hum ko sataane

Yun hum ko sataane
Yun hum ko sataane ki zaroorat kya thi,
Dil mera jalaane ki zaroorat kya thi.

Jo nahi tha ishq to keh diya hota,
Dil toor ke jaane ki zaroorat kya thi.

Maloom tha gar yeh khuwaab toot jayenge,
Neend mein aa kar uthaane ki zaroorat kya thi.

Ishq par lagti rahegi har daur mein paabandi,
Ashiq ko majboor banaane ki zaroorat kya thi.

Maan loo gar yeh yak tarfa mohabbat thi,
Mujh ko dekh kar muskuraane ki zaroorat kya thi
  

Jun, 07 2010     438 chars (3 sms)     2863 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Umar Se Insan Badal Jate He

Waqt Se Tufan Badal Jate He

Sochte Hai Aapko Itna Yaad Na Kare

Lekin
Aankh Band Karte Hi
Armaan Badal Jate He
kabhi lafz bhool jaon,
kabhi baat bhool jaon
tujhey is qadar chahon
apni zaat bhool jaon
uth ker kabhi,jo terey pass chal dun
toh jate huwe khud ko
terey pass bhool jaon.../
Ek Tooti hui zanjeer ki Faryad hain Hum.

0r Dunya
samajhti hai k
Azad hain Hum.

Is ashiqui ne Hum ko dya kya hai.

Kal Bhi Barbad thy or Aaj B Barbad hen Hm.
Niqaab ko Be-Niqaab kar de
Hijaab ko Be-Hijaab kar de

Qasam hai Tujh ko Masoomiyat ki
Namaz-e-Fitrat Kharab kar de

Wo Qais hi tha jo Ulajhta raha
Jaib-o-Daman ki Dhajjiyon se

Mai us Junoon ki Talash mai hoon
Jo Chaak Tera Niqaab kar de

Tere Karam ke Ma''amley ko
Tere Karam per Chorta hoon

Meri Khataein Shumaar kar k
Meri Saza ka Hisaab kar de
Kuch Hain Dooriyan Kuch Hain Faaslay
Kya Yehi Hain Mohabbat K Zaabtay

Kuch Dil Hai Thora Udaas Udaas
Kuch Weeran Weeran Se Hain Raastay

Kuch Ham Ko Bhi Khabar Nahin
Kuch Tum Se Bhi Nahin Hain Raabtay

Agar Hamain Maangnay Ka Haq Hota To
Hum Tumko Tumhi Se Maangtay
Bus ik zara khayal is dosti ka tha,

warna bohat gila teri berukhi ka tha,

mujhko laga me bhi teri zindagi mei hoon,

per yeh to koi dokha meri saadgi ka tha.
Usko RABB Se Itni Baar Manga Hy,

¤...¤...Wasi...¤...¤

k

Ab Hum Sirf Haath Uthatey Hyn

Sawal Farishtey Khud Likh Lete Hyn ...
Hamain To Mohabbat K Liyee Bhi Zindagi Kam Lagti Hai

FARAZ

Magr Yahan To Log Nafrat K Liye Bhi Waqt Nikal Lete Hain
Uss ny muhabbat ko b ik tijarat samja
Ik dhoka tha main jisy chahat samja

Wo mery dil ko torr karr khush hota raha
Main kaisa deewana tha jo dard ko b rahat samja

Uss ny samja hi nahi rishtoo k taqaddus ko kabhi
Yeh faqt khail tha main ny uss ki aadat samja

Har baar uss ny dia meri wafa ko fraib Dost
Main tha k apny pyaar ko ik abadat samja
Is Se Pehle Ki Dilo Me Nafrat Jaage
Aao Ek Shaam Mohabbat Me Bita Di Jaye
Karke Kuch Mohabbat Ki Baatein
Is Shaam Ki Masti Badha Di Jaye
Har bar na kha kr tjhy chor dain gy hum,,

na hum itny aam hain na ye tere bs ki baat hy...
mana ke khud marna haram hai danish,

magar uske baghair jeena bhi tu jaaiz nahi.