/-> AFSOS MAT KARO <-/

/-> AFSOS MAT KARO <-/
/-> AFSOS MAT KARO <-/

Woh apne ghar chala gaya afsos mat karo
Itna hi us ka saath tha afsos mat karo
Insaan apne aap main majboor hai bohat
Koi nahi hai bewafa afsos mat karo

Is baar tum ko aane main kuch dair ho gayi
Thak haar ke woh sogaya afsos mat karo
Duniya main aur Chahne wale bhi hain bohat
Jo hona tha so hogaya afsos mat karo

Is Zindagi ke mujh pe kayi qarz hain magar
Main jald laut aoongi afsos mat karo
Yeh dekho phir se aagayin Phoolon pe titliyan
Ek roz woh bhi aayega afsos mat karo

Woh tum se aaj door hai kal paas ayega
Phir se ALLAH milayega afsos mat karo
Bekaar jee pe bojh liye phir rahe ho tum
Dil hai tumhara Phool sa afsos mat karo
  

Jun, 07 2010     689 chars (5 sms)     6901 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Chalay aao Kainaat baant letay hain.....
Tum meray or Bakii sub Tumhara

Be-Khuloos Logo''n Se
Ijtinab Krna Hy

Mujhy Apne Rishto''n Ka
Ehtisab Krna Hy

Usay Bhool Jana Hy Ya
Usay Yaad Rkhna Hy

Dukh Tou Ek Jesa Hy Bs
Intikhab Krna Hy
Tanha Si Zindagi Main

Chota Sa Saath Tumhara

Ittifaq Hi Sahi

Par Lagta Hai Hum Ko Pyara

Jaise Akele Se 1 Parinde Ko

Mil gaya Ho Aasman Saara
Aik he mil jaaye toot kar chahnay wala bohat hai

Mujh say qanaayet pasand hazaaron ki tamanna nahin rakhtay!
Mohobbat Ka Imtihan Aasan Nahi
Pyar Sirf Pane Ka Naam Nahi

Muddatein Beet Jati Hain Kisi K Intezar Mein
Ye Sirf Pal Do Pal Ka Kaam Nahi
Tu is qadar mujy apny qareeb lagta hy
Tujhy alag souchon to ajeeb lagta hy
Ye dosti Ye chahatain Ye Mohabat Sb kia hn
tu to mujy mera naseeb lagta hy.
Sath Jeeney Ka Naam Sab Kuch Nahi
Door Reh Kar Bhi Qaraar Milta Hai
Pyaar Paney Ka Naam Sab Kuch Nahi
Pyar Dhy Kar Bhi Qaraar Milta Hai
Nighaa-e-mast ke mastiaayyn.....
kisi BAdNASEEB pe daal daiiiii....,,
kisi ''dardmand'' k To kaAM aaa...
kisi dobtaiii ko uchhhaaal daiiii....
maI iSI KHAYAAAL SE ajj tak,....!!
tUghaI "DIL"ke baat na batasaka,
tO jo dard-e-dil se haiii baikhabar,
kahiN "MUSKURAA" K Naa TAal dai.
**ANNA!!***
kisi mehrbaani ki boond say,

mujhay mera sehra azeez hay,

kisi maangi chhaaon ki bheek say,

meri dhoop dhoop azeem hay,

kisi tars khaatay ujaalay say,

mujhay naaz apnay andheron par,

mujhay gham-gusaaron ki bheer say,

es akailay-pan pay gharoor hay...!!
Main chahta hi na tha use Lajawab karna

Wrna jawab mere paas us k har swal ka tha

Uski jeet se hoti thi khushi mujhko
Yhi jawaz mere pas apni haar ka tha..
hai payaar unko hum se itna tu yaqeen hai hume.
wo inkaar bhi karte hain tu ankhain saath nahi dati.
dil ki dharkano ko dharka gaya koi
mere khawabon ko mehka gaya koi

hum to anjane rastey par chal rahe they
achnak pyar ka matlab shika gaya koi