Hai azme Khalili sinoan me, sholoan me phool khila denge
Hathoan me nihan hai zoore Ali, Khaiber ka saman dikhla denge
Abbas-e-dilawar ke waris, har ek ki pyas bhuja denge
Ye nasl wa mulk wa rango watan, ki sab diware gira denge
Is waqat fiza-e-alam me, bas ek Alam lehraega
sab thaat pada rehjayega, jab aane wala aayega
Hussain Mera
Hussain Tera
Hussain Rab ka
Hussain Sab Ka
Hussain Gar na
Shaheed Hota
Tou Aaj Ghar Ghar
Yazeed Hota
Khuda k Ghar Main
Azaan Na Hoti
Nabi[S.a.w] Ki
Sunnat Ada Na Hoti
Dasht-e-Bala ko Arsh ka Zeena Bana diya
Jungle ko Mustafa ka Madina Bana Diya
Har Zarrey ko Najf key Nagina Bana Diya
Aye Husain Tum ney Marney ko Jeena Bana Diya