para''ey des main bhi apni seekhoon dhoond letay hain
Ali waalay Ali waalon ki khushboo soongh letay hain
naajanay musalmaanon ko nazar kiyun nahin aatay
fazaail to meray Maula k hindu dhoond letay hain
Nam-e-ghazi se khushbu-e-wafa aati hai.
Un k rozy sy Ya Hussain(A.S) ke sada aati hai.
Jab b bathay hain hum ABBAS kpercham k tale.
Aisa lagta hai janat ay hawa aati hai.
jo bhi Darakht-e-Bughz-e-Ali mein ataak gaya
wo shakhs Rahe-e-Den-e-Khuda say bhatak gaya
Kausar ki simt Shaikh jee Lapkey to they mager
Saqi Ali hei deakh ker Chera Latak gaya
Be Amal Dil Ho To Jazbat Se Kia Hota Hai
Zameen Banjar Ho To Barsat se Kia Hota Hai
Na Ho Jis Dil Me Ali e Murtaza Ka Ishq
Ayy Musalman In Ibadat Se Kia Hota Hai ?
Fanaa k Baad b is Rasam Ko nibhaein gein
Lahad mein ja k b hum tera Ghum Manaein gein
Nishaaan ABBASS ka turbat pe hum laga dein gein
Hussain teri sadaqat pe sir kata dein gein.