Saja rakhi thi darya par ajab baraat pani ki
Bahut kerte the Ashrare yazidi baat pani ki
Magar sahil pe pahonche thokarain marien chale aye
Bata di Hazrat-e-Abbas ne Auqaat pani ki.
Maqtal Mai Dono Hath Kataney Ke Bawjood...... Abbas Tere Hath Mai Bazi Hai Aaj Tak..... Tune Badal Ke Rakh Diyea Mana Hayat Ke...... Tu To Shaheed Hoke Bhi Ghazi Hai Aj Tak
Khazanay ki jo zeenat ho usay ALMAAS kehtay hain
Tamana pani ki hoti hay toe PYAAS kehtay hain
Jahan peety jain sub pani usy kehtay hain sub darya
Jo darya ko pilata hoo usay ABBAS (A.S) kehtay hain!
Mazahar_e_sanat_wahadat ko Ali(a.s) kahtey hain
Waris_e_ilam_e_nabwat ko Ali(a.s) kahtey hain
Sun k farman_e_mohamad(saw) phir kaha hum ney
Hum to ALLAH ki ibadat ko Ali kahtey hain