achha hai mujhe

achha hai mujhe
achha hai mujhe intjar nahi hai tumhara,
tumto kabhi na aane ke liye gaye ho,
tumhari kuchh yaade hai mere pass,
sirhane ke niche dabi padi,
dil ke ek kone mai,
abki aana to le jana wo sab ,
jo bikhra bikhra pada hai tumhare na hone se,
mere jehan se apni yaad,
mere dil ki wo fariyaad,
tumhari kahi hui har ek baat,
tumhare dwra di hui tumhari har ek saugat,
aur aansuo ki dhero katrane...........
  

Jun, 18 2010     410 chars (3 sms)     3536 views       Break Up

more Break Up SMS Messages

Zindagi teri rah main $hab-e-Arzo Teri Chah May
Jo ojar gaya wo ba$a nahi jo bichar gaya wo Mila Nahi
Jo dil-o-nazar ka $uroor tha meray paa$ reh kay bhi Door Tha
Wahi aik gulaab umeed ka meri $hakh-e- jaan Pay Khila Nahi
Torr Kar Hum ko aisy Bakhero ab ki bar,
.
.
.
.
Na Phir sy jurr payein Hum,
Na Phir sy tor pao Tum,
safar zindagi ka ab khatam hi samjho

.
.
k tmhary raqiyon se ab judai ki mehak aati he.
na jany samandar ki leher kinary se
tukra kar wapis kyu ajatai ha
samjh mai nahi aaata k wo kinary se
bewafai karti ha ya lot kar samndar se
Na Umeedin Ki$i $e Rakhtey To Acha Hota
Ietbar Na Ki$i Pe Kartey To Acha Hota

$abaq Deta Hai Zamana Yeh Auron Ko Giraney Ka
$ahara Na Ki$i Ko $amjhtey To Acha Hota

Yaqeen Apni Kamyabi Ka Ki$i Ko Kab Hota Hai
Taqdeer K Muqabil Na Hotey To Acha Hota

$ochtey They Ietbar Andha Ho Ga Dewawa Tum Per
Na Khuwaab Jagtey Main Dekhtey To Acha Hota

Na Chahtey Tum Ki$i Ko Na Koi Tumheen Poojta
Na Achey Ki$i Ko Lagtey To Acha Hota

Darya Mohabbat Ka Kab Koi Paar Karta Hai
Na Mohabbat Ki$i $e Kartey To Acha Hota.....
Badalte is zamane ne sabko badal dala,
usne hawa khawab or khyal ko badal dala,
par unhe na badal saka koi,
jinke liye humne apne apko badal dala
ranjish hi sahi dil dukhane ke liye aa,
aa tu fir se mujhe chhor jane ke liye aa.
Itna kuch hoke bhi hame pana na aaya,
pyar itna kiya par jatana na aaya,
wo to aagaye is dil me,
kasoor hamara hai jo hame unke dil me samana na aaya.
itni Azziyat $ay U$s Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga...
Meri Yadoon Ne U$say Khoob Rulaaya Hoga..

Baat Be-Baat Aankh U$s Ki Jo Chhalkee Hogi.......
U$s Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya Hoga...

$ocha Ho Ga U$s Ne Din Main Kaee Baar Mujhay.......
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya Hoga...

Jahan U$s Nay Mera Zikkr $una Hoga Ki$i $ay..
U$s Ki Aankhon Main Koi Aan$oo Tou Aaya Hoga..

Raat Ke Bheetnay Tak Neend Na Aai Hogi Tujhay........
Tunay Takkiye Ko Bhi $eenay $e Lagaaya Hoga..

Hokay Nidhaal Meri Yadoon $e Tunay Jaana.........
Meri Ta$veer Pe Sar Apna Tikaaya Hoga......

Poocha Hoga Jo Ki$i Ne Tere Halaat Ka $abbab....
Tunay Baaton Main Khoob U$s $e Chupaaya Hoga.....
ashar mere yu to zamane ke liye hai, kuch shear fakat unko sunane ke liye hai, ab ye bhi nahi thik har dard mitade, kuch dard kaleje se lagane ke liye hai..
kuch khud b thay afsurda say,,
kuch tum b hum say rooth gaye,,
kuch khud hi zzakhm k aadi thay,,
kuch sheeshay hath say choot gaye,,
kuch khud b hassaas thay bohat,,
kuch apnay muqadar rooth gaye,,
kuch tum ko sach say nafrat thi,,,
kuch hum say na bolay jhoot gaye,,
kuch logon nay uskaya tumain,,
kuch apnay muqadar phoot gaye,,
kuch khud itnay mohtaat na thay,,
kuch log b hum ko loot gaye,,
kuch talkh hakaik thay itnay,
k khaab hi saray toot gaye.........
Un $e door jane ka irada na tha,
$ada $ath rehne ka bhi wada na tha,
woh yaad na karenge yeh jante they hun,
par itni jaldi bhool jaynge ANDAZA na tha...