Jurm-e-Ulfat ki saza detay han tere shaher k log,
Mujh ko Sholon mein jala dete han tere shaher k log,
Kaisay aaon tere shshar mein mom sa badan le kar,
Labon se aag barsate han tere shaher k log,
Mein to ek tota hua pata hon mere ooqat hi keya ha ,
Pholon ko bhi jala detay han tere shaher k log.
apni aankhon ke samandar mein utar “JaNE DE”,
Tera mujrim hon mujhe doob ke mar “JaNE DE”,
aye naye dost mein samjhon ga tujhe bhi apna,
Pehlay maazi ka koi zakham to bhar “JaNE DE”,
aag Duniya ki lagai bujh jae gi,
Koi aansoo mere daman pe bikhar “JaNE DE”,
Zakham kitnay teri chahat se mile han mujh ko,
Sochta ho ke kahon tujh se magar “JaNE DE”