Ek Gulaab Tha Zara Der Ka kOi
Khwab Tha,
Jo Guzar Gaya Si
Guzar Gaya Wo Udaas Dhoop
Samait Ker
kahin Wadiyo''n Main
Utar Gaya Usay ab Na De Mere
Dil Sada Jo Guzar Gaya So
Guzar Gaya Ye Safar Bhi Kitna Taveel Hy
Yahan Waqt Kitna Qaleel Hy
Kahan Laut Ker Koi
aaye Ga o Guzar Gaya So
Guzar Gaya ...!!
LOG kehtay hain k guftar yeh kam kertay hain
baat krtay hain magr soch k hum kertay hain
yeh jo insaan hai dushman hai zamany bher ka meray MOLa hain jo bandon py karam kertay hain
Subah hoti hai to muskaan saja letay hain
raat hoti hai to hum ankh ko nam kertay hain
yeh to mumkin hi nahin khwab sabhi pooray hon
Saif khwahish ko bhi taqdeer main zamm kertay hain.
aj December ki pehli shab hai
Khanak khanak see
Sard sard see dhund alood
Beetay dinon ki saari batein
aik aik kar k zehan k
Dareechon say jhank
Rahi hain
Kahin pay manzar bhag rahay hain
Kahin par muqadar jag rahay hain
Har aik lamhay ko khoj rahay hain
aisay lamhon mein kuch deewanay
Beetay dinon ko soch rahay hain