Teri baahon mein meri zindagi guzar jaye,
ankhon mein saanson mein dhadkano mein tu sama jaye,
ho na tu kabhi mujhse juda ek pal ke liye bhi,
rahe tu itne kareeb mere zindagi bhar ki tu mere rom rom mein bas jaye
Teri adaon ka hua main deewana is kadar,
na waqt ka hosh na khud ki khabar,
na bhuk lage na pyaas bas intezaar rahe tere didaar ka,
har jagah har pal tujhe dhundti rahe meri nazar.
Suno
Hum toot jaein gay
K doori she na paein gay
Judai maar dalay gee
Suno!
Yeh aankhein bojhal hain
Inhein kis tarha behlaein
Suno!
Hum so na pein gay
Kabhi khush ho na paein gay
Judai maar dalay gee
Suno!
Ye dil tumhara hai
Na tum bhi ab guzara hai
Suno
Kuch waqt do hum ko
Bana lein dost iss ghum ko
Humein maloom hai aakhir
Judai maar dalay gee
"Ek hi din me begaane ho Gaye. kal tak haqeekat the, ab afsaane ho Gaye. shayad tujhpe mar mittne ka hi junoon hai, ke tere is sitam ke bhi hum deewane ho Gaye"
tere siva nahi jachta koi nigahoon mai
jo to kahe to bikhar jaaon teri raahon mai
nazar kaneez teri dil ghulaam hai tera likha hua mere chehre pe naam hai tera.,
Tum rasm-e-muhabbat kya jano
Tum hunar wafa ka kya jano
Tum mosam khizan ka kya jano
Tum bahar ka mosam kya jano
Tum dil ka tarapna kya jano
Tum aankhon ka tarasna kya jano
Tum ishq mein jeena kya jano
Tum ishq mein marna kya jano
Yeh tumhari muhabbat jaan hai meri
Tum jaan ka matlab kya jano