meri rooh jesay kuchal

meri rooh jesay kuchal
meri rooh jesay kuchal gya,
koi shaks aisy badal gya,

ye kis ka harf-e- dua raha,
k main girty girty sanbhal gya,

teri yaad jab aany lagi,
mera dard jesy behal gya,

meri qismaton ka qaafla,
kisi aur janib nikal gya,

tumhain dekhty hain bysabab,
koi khawab mera machal gya,

mera patharon sa garoor tha,
magar tery aqgy pighal gya....
  

Jun, 04 2010     353 chars (3 sms)     2966 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

kar kar k MinTain uski



Adat Bigaar di


DanistA hum ne us ko


sitamGar Bana Dia.
kiya mila use mire dunya ujar kar
woh bhi tanha phir raha hai mujhe tanha chor kar
naam to likh doonaam to likh doon us n us ka har jaga magar ye khayal aata hai,

masoom hai mera sanam kaheen badnaam na ho jaye...
Band sheeshon k parey daikh,dareechon k udher…

Sabz pairon pe,ghani shaakhon pe,pholon pe wahan…

Kaise chup chaap barasta hai musalsal paani…….!

Kitni awaazain hain,log hain,baatain hain magar……

Zehan k peechey kisi aur hi satah pe kahin……..!!!!!!

Jaise chup chaap barasta hai tasavvur tera…………..!
Tere Siwa KHUDA Ne Bohat Kuch aata Kia
Tujhko Na-Jane Kis Liye Mujhse Juda Kia
Wo Zindagi Jo Phool Se Zada Haseen Thi
Teri Talab Mein Humne Usey Bhi Khafa Kia
Sara hi shehar us k janazey main tha shareek,
Tanhaiyon k khoof se jo shakhs mar gaya....!
sunte hai har chij mil jati hai dua se,
ek din tujhe mang ke dekhenge khuda se.
Dur nigahonse baar baar jaya na karo,

Dilko is kadar tadpaya na karo,

Tum bin 1 pal bhi ji na sakenge hum,

Ye ehsaas baar baar dilaya na karo....;->
Itna Toota Hoon k choone se Bikhar jaonga





Ab Agar aur Dua Doge To marr jaonga
wo to ambar hai...
usey apne anchal par,
chand sajane ka haq hai
mai to fakat ek khushboo hu
khushbuo ka mukaddar to
azal me bikhar jana hi likha hai
khushboo hath nahi hati
na hi chand aur khushboo ka
wasl mumkin hai
ye to hawao ki musafir hai
chand to thos hakikat hai
jo ambar par hi sajta hai............
Suno!

Tum Muje Aisay
Tang Na Kiya Karo

Kyu K

Jab Tum Nahi Hotay

To Mai Bahut Tang Hota Hoon... /
Yun hum ko sataane ki zaroorat kya thi,
Dil mera jalaane ki zaroorat kya thi.

Jo nahi tha ishq to keh diya hota,
Dil toor ke jaane ki zaroorat kya thi.

Maloom tha gar yeh khuwaab toot jayenge,
Neend mein aa kar uthaane ki zaroorat kya thi.

Ishq par lagti rahegi har daur mein paabandi,
Ashiq ko majboor banaane ki zaroorat kya thi.

Maan loo gar yeh yak tarfa mohabbat thi,
Mujh ko dekh kar muskuraane ki zaroorat kya thi