door ja k bhi us se

door ja k bhi us se
door ja k bhi us se door ja na ske.
kitna roye hm us ki judai main bta na ske
  

Jun, 02 2010     78 chars (1 sms)     3455 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Darr-e-qafas sy paray jab saba guzarti hy

Kisay khabar k aseeron py kya guzarti hy

Taeluqaat kbhi es qadar na tootay thay

K teri yad b dil se ghafa guzarti hy

Wo ab milay b to milta hy es tarah jaisy

Bujhay charaghon ko chhoo kar hawa guzarti hy

Ye ehl-e hijr ki basti hy ehtiyaat se chal

Musebaton ki yahan inteha guzarti hy

Na poochh apni anaa ki baghawtain MOHSIN

Darr-e qubool se bach kr dua guzarti hy...\
Hum Log Teray Shehar Mein Khushboo Ki Tarah Hain Faraz

Mehsoos Tu Hotay Hain Dikhai Nahi Detay
Agar didaar ki talab ho,

to nazrein jamaaye rakh!

Parda ho ya nakaab ho,

sarkata zaroor hai!
parh Chuke Husn ki Tarikh ko Hm Tere Baad,

ishQ Aage Na Barha 1 Qadam Tere Baad,

Aaj Tk Phir koi Tasveer Na Bani Aisi,

jis ki khai Ho Musawar Ne Qasm Tere Baad
kash koi parhta meri nazron se pegham-e-mohabat''

umar guzri hai iqbal lafzon ko ashaar kartey...
khizaon mein hota hai imtihan wafaon ka...

jo shajar ko payray wo pattay gira nahi kartay..
Mein chahta hee na tha lajawab kerna tumhein
Werna jawab mere pas her sawal ka tha
Tumhari jeet se humy khushi hoti hai
Yehi jawaz mere pass apni haar ka tha
kon ujra ho ga bhari duniya mai hamari tarha.

tu b na mila humko aur khud ko b ganwa bethe.
mEra tA''jub ajab To Nahi

w0 shakhs pehlay sA Ab to nhi

wafa ka kiya Gilla karon main us sE
W0 mera kab tha, jo ab Nhi
Peheli nazar main hi koi hamare dil main aake baitha hai,
Usse harpal dhund rahe hai, aur woh to pardes jaake baithi hai,
Socha, aaj chand ko dekhakar unhe yaad kar le,
Par woh bhi kambakht kahi badalo main chhup ke baitha hai.......
Dil ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sehtey Hain,
Humne Suna Tha Iss Basti Mein Dilwaley Bhi Rehtey Hain,

Beet Gaya Sawan Ka Mahina Mausam Ne Nazrein Badli hain,
Lekin Inn Pyaasi Aankhon Mein Ab Tak Aansu Behtey Hain,

Ek Hamein Awara Kehna Koi Bada Ilzaam Nahi,
Duniya Waley Dil Walon Ko Aur Bahut Kuch Kehtey Hain,

Jis Ki Khatir Sheher Bhi Chhoda Jiske Liyey Badnaam Huey,
Aaj Wohi Humse Begane Begane Se Rehtey Hain,

Wo Jo Abhi Rehguzar Se Chaak-E-Garebaan Guzra Tha,
Uss Awaara Deewane Ko Jalib Jalib Kehte Hai...
Ab kyun oss din ki fiker kero,
jab dil tokray tokray hojaiga,
or saray gham mit jaingay,
tum khof o khatar say der guzer kero,
jo hona hay so hona hay,
hasna hay tou hasna hay,
ger rona hay tou rona hay,
tum apni kerni ker guzero,
jo hoga dekha jaiga.