woh Aadmi Hai Aam

woh Aadmi Hai Aam
woh Aadmi Hai Aam Sa..
Ek Qissa Natamaam Sa..
Na Lehja Be-misal Hai,
Na Baat Main Kamal Hai..
Hai Dekhne Main Aam Sa
Udasiyon Ki Shaam Sa
Jaise k Ek Raaz Hai
Wo Khud Se Be-niyaaz Hai
Na Mehjabinon Se Rabt Hai
Na Shohraton Ka Khabt Hai
Ranjha, Na Qais Hai Koi..
Insha, Na Faiz Hai Koi
Woh Peker-e-Ikhlas Hai...
Wafa, Dua Aur Aas Hai...
Wo Shakhs Khud Shanaas Hai,
Tum Hi Karo Ye Faisla!!!
Woh Aadmi Hai Aam Sa?
Ya Phir Bohat Hii Khaas Hai...?
  

Jun, 04 2010     458 chars (3 sms)     4696 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Jab Bhi Sochogi Har Fasana Yaad Aayega,
Kab Ki Thi Kya Baate Wo Zamana Yaad Aayega,
Sukh Jayenge Tumhare Honth Aankh Se Aansoo Nikalenge,
Phir Dil Se Aawaz Dena Ye Diwaana Chala Aayega.
Sook Ko Dadde Haya Milte Nahi ,

Yahan Nigahen Asane Se Milte Nahi,

Ye Bhi Hasrat Ka Kya Sitam Hey,

Ishq Se Husn Ko Dadde Jafa Milte Nahi
mai aksr thak sa jata hu
musalsal sochty tumko
k meri zindagi khali tumhary bin
khud b adhuri c
teri khawhish ki shidat ko sambhaly jab main
be''sudh ho kr gir jata hu bistar pe
to aansu aankh se,
aur dil se
shikway phoot party hain
gilay khud se,
Khuda se
aur tumse karta hu,
muje kyu is qadar
tum yaad aaty ho?
Zindagi roz naye rang mein dhal jati hai,
kabhi dusman toh kabhi dost nazar ati hai.
Kabhi baras jaye ghata bemausam,
kabhi ek boond ko rooh taras jati hai
TAMANNAON MAIN ULJHAYA GAYA HOON
KHILONY DE KE BEHLAYA GAYA HOON
KAFAN MAIN KIYON NA JAOON MOON CHUPA KE
BHARI MEHFIL SE UTHWAYA GAYA HOON
uski khushi ki khatir main ny kitnay ghum chupaey"MOHSIN".

agar main aik baar rota to uska shehr doob jata..
Ankhon Ko Intezar Ka Hunar De Kar Chala Gaya
Chaha Tha Ek Shaks Ko Jane Kidhar Chala Gaya
koi raha hai meri aankhon ka bhi haqdar...

aankh kya barsi tu wo bhi sath chor gaya...
Main isi waja say na keh Saka Tujhay Dil ki Baat Aaj Tak...

K Tu dard-e-dil Sy hy Be khabar kahiN Muskra k na Taal Day.
kaisay chop chaap he mar jatay hain kuch log yahan ..
jisam kee thandi see
tareek saiyhaa qaber kai under
na kissi saans kee awaaz , na siskee koi ..
na koi aahh , na jombish na he aahat koi ..
aaisay chop chaap he mar jatay hain kuch log yahan
kai
unko dafnanay kee zaihmat bhe othana nahe pertee
Tammana se nahi tanhai se darte hain

pyaar se nahi ruswaai se darte hain

milne ki to bohat chahat hai

par milne ke baad judaai se darte hain
Tere pyar ne bahut kuch sikha diya,

Meri khamosh duniya ko jaise hasa diya,

Karzdar hu mein us khuda ki
Jisne mujhe tum jaise humsafar se mila diya.......;->